rahi na-gufta mere dil mein dastaan meri | रही न-गुफ़्ता मिरे दिल में दास्ताँ मेरी

  - Meer Taqi Meer

rahi na-gufta mere dil mein dastaan meri
na us dayaar mein samjha koi zabaan meri

b-rang-e-saut-e-jars tujh se door hoon tanhaa
khabar nahin hai tujhe aah kaarwaan meri

tire na aaj ke aane mein subh ke mujh paas
hazaar jaaye gai tab-e-bad-gumaan meri

vo naqsh-e-pai hoon main mit gaya ho jo rah mein
na kuchh khabar hai na sudh haigi rah-ravaan meri

shab us ke kooche mein jaata hoon is tavakko par
ki ek dost hai waan khwaab paasbaan meri

usi se door raha asal muddaa jo tha
gai ye umr-e-azeez aah raayegaan meri

tire firaq mein jaise khayal muflis ka
gai hai fikr-e-pareshaan kahaan kahaan meri

nahin hai taab-o-tawaan ki judaai ka andoh
ki naa-tawaani bahut hai mizaaj-daan meri

raha main dar-e-pas-e-deewar-e-baagh muddat lek
gai gulon ke na kaanon talak fugaan meri

hua hoon giryaa-e-khoonin ka jab se daman-geer
na aasteen hui paak dostaan meri

diya dikhaai mujhe to isee ka jalwa meer
padi jahaan mein ja kar nazar jahaan meri

रही न-गुफ़्ता मिरे दिल में दास्ताँ मेरी
न उस दयार में समझा कोई ज़बाँ मेरी

ब-रंग-ए-सौत-ए-जरस तुझ से दूर हूँ तन्हा
ख़बर नहीं है तुझे आह कारवाँ मेरी

तिरे न आज के आने में सुब्ह के मुझ पास
हज़ार जाए गई तब-ए-बद-गुमाँ मेरी

वो नक़्श-ए-पै हूँ मैं मिट गया हो जो रह में
न कुछ ख़बर है न सुध हैगी रह-रवाँ मेरी

शब उस के कूचे में जाता हूँ इस तवक़्क़ो' पर
कि एक दोस्त है वाँ ख़्वाब पासबाँ मेरी

उसी से दूर रहा असल मुद्दआ' जो था
गई ये उम्र-ए-अज़ीज़ आह राएगाँ मेरी

तिरे फ़िराक़ में जैसे ख़याल मुफ़्लिस का
गई है फ़िक्र-ए-परेशाँ कहाँ कहाँ मेरी

नहीं है ताब-ओ-तवाँ की जुदाई का अंदोह
कि ना-तवानी बहुत है मिज़ाज-दाँ मेरी

रहा मैं दर-ए-पस-ए-दीवार-ए-बाग़ मुद्दत लेक
गई गुलों के न कानों तलक फ़ुग़ाँ मेरी

हुआ हूँ गिर्या-ए-ख़ूनीं का जब से दामन-गीर
न आस्तीन हुई पाक दोस्ताँ मेरी

दिया दिखाई मुझे तो इसी का जल्वा 'मीर'
पड़ी जहान में जा कर नज़र जहाँ मेरी

  - Meer Taqi Meer

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari