hai haal jaaye girya-e-jaan par aarzoo ka
roye na ham kabhu tak daaman pakad kaso ka
jaati nahin uthaai apne pe ye khushunat
ab rah gaya hai aana mera kabhu kabhu ka
us aastaan se kis din pur-shor sar na patka
us ki gali mein ja kar kis raat main na kooka
shaayad ki mund gai hai qamri ki chashm-e-giryaan
kuchh toot sa chala hai paani chaman ki joo ka
apne tadapne ki to tadbeer pehle kar luun
tab fikr main karunga zakhamon ke bhi rafu ka
daanton ki nazm us ke hansne mein jin ne dekhi
phir motiyon ki lad par un ne kabhu na thooka
ye aish-gaa nahin hai yaa rang aur kuchh hai
har gul hai is chaman mein saaghar bhara lahu ka
bulbul ghazal-saraai aage hamaare mat kar
sab ham se seekhte hain andaaz guftugoo ka
galiyaan bhari padi hain ai baad zakhmiyon se
mat khol pech zalim us zulf-e-mushk-boo ka
ve pehli iltifaat saari fareb nikliin
dena na tha dil us ko main meer aah chauka
है हाल जाए गिर्या-ए-जाँ पर आरज़ू का
रोए न हम कभू टक दामन पकड़ कसो का
जाती नहीं उठाई अपने पे ये ख़ुशुनत
अब रह गया है आना मेरा कभू कभू का
उस आस्ताँ से किस दिन पुर-शोर सर न पटका
उस की गली में जा कर किस रात मैं न कूका
शायद कि मुँद गई है क़मरी की चश्म-ए-गिर्यां
कुछ टूट सा चला है पानी चमन की जू का
अपने तड़पने की तो तदबीर पहले कर लूँ
तब फ़िक्र मैं करूँगा ज़ख़्मों के भी रफ़ू का
दाँतों की नज़्म उस के हँसने में जिन ने देखी
फिर मोतियों की लड़ पर उन ने कभू न थूका
ये ऐश-गा नहीं है याँ रंग और कुछ है
हर गुल है इस चमन में साग़र भरा लहू का
बुलबुल ग़ज़ल-सराई आगे हमारे मत कर
सब हम से सीखते हैं अंदाज़ गुफ़्तुगू का
गलियाँ भरी पड़ी हैं ऐ बाद ज़ख़्मियों से
मत खोल पेच ज़ालिम उस ज़ुल्फ़-ए-मुश्क-बू का
वे पहली इलतिफ़ातें सारी फ़रेब निकलीं
देना न था दिल उस को मैं 'मीर' आह चौका
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Dhokha Shayari Shayari