hota hai yaa jahaan mein har roz-o-shab tamasha | होता है याँ जहाँ में हर रोज़-ओ-शब तमाशा

  - Meer Taqi Meer

hota hai yaa jahaan mein har roz-o-shab tamasha
dekha jo khoob to hai duniya ajab tamasha

har chand shor-e-mahshar ab bhi hai dar pe lekin
niklega yaar ghar se hovega jab tamasha

bhadke hai aatish-e-gham manzoor hai jo tujh ko
jalne ka aashiqon ke aa dekh ab tamasha

taalea jo meer khaari mehboob ko khush aayi
par gham ye hai mukhalif dekhenge sab tamasha

होता है याँ जहाँ में हर रोज़-ओ-शब तमाशा
देखा जो ख़ूब तो है दुनिया अजब तमाशा

हर चंद शोर-ए-महशर अब भी है दर पे लेकिन
निकलेगा यार घर से होवेगा जब तमाशा

भड़के है आतिश-ए-ग़म मंज़ूर है जो तुझ को
जलने का आशिक़ों के आ देख अब तमाशा

तालेअ' जो मीर ख़्वारी महबूब को ख़ुश आई
पर ग़म ये है मुख़ालिफ़ देखेंगे सब तमाशा

  - Meer Taqi Meer

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari