naqsh baithe hai kahaan khwahish-e-aazaadi ka
nang hai naam rihaai tiri sayyaadi ka
daad de warna abhi jaan pe kheloon hoon main
dil jalana nahin dekha kisi fariyaadi ka
tu ne talwaar rakhi sar rakha mein banda hoon
apni tasleem ka bhi aur tiri jallaadi ka
shehar ki si rahi raunaq usi ke jeete-ji
mar gaya qais jo tha khaana khuda waadi ka
shaikh kya sooraten rahti theen bhala jab tha dair
roo-b-veeraani ho is ka'be ki aabaadi ka
rekhta rutbe ko pahunchaaya hua us ka hai
mo'taqid kaun nahin meer ki ustaadi ka
नक़्श बैठे है कहाँ ख़्वाहिश-ए-आज़ादी का
नंग है नाम रिहाई तिरी सय्यादी का
दाद दे वर्ना अभी जान पे खेलूँ हूँ मैं
दिल जलाना नहीं देखा किसी फ़रियादी का
तू ने तलवार रखी सर रखा में बंदा हूँ
अपनी तस्लीम का भी और तिरी जल्लादी का
शहर की सी रही रौनक़ उसी के जीते-जी
मर गया क़ैस जो था ख़ाना ख़ुदा वादी का
शैख़ क्या सूरतें रहती थीं भला जब था दैर
रू-ब-वीरानी हो इस का'बे की आबादी का
रेख़्ता रुत्बे को पहुँचाया हुआ उस का है
मो'तक़िद कौन नहीं 'मीर' की उस्तादी का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Raksha bandhan Shayari Shayari