tha mustaar husn se us ke jo noor tha | था मुस्तआर हुस्न से उस के जो नूर था - Meer Taqi Meer

tha mustaar husn se us ke jo noor tha
khurshid mein bhi us hi ka zarra zuhoor tha

hangaama garm-kun jo dil-e-na-suboor tha
paida har ek naale se shor-e-nushoor tha

pahuncha jo aap ko to main pahuncha khuda ke tai
maaloom ab hua ki bahut main bhi door tha

aatish buland dil ki na thi warna ai kaleem
yak shola barq-e-khirman-e-sad-koh-e-toor tha

majlis mein raat ek tire paratve baghair
kya sham'a kya patang har ik be-huzoor tha

us fasl mein ki gul ka garebaan bhi hai hawa
deewaana ho gaya so bahut zi-shuur tha

muna'im ke paas qaaqum o sanjaab tha to kya
us rind ki bhi raat guzar gai jo oor tha

hum khaak mein mile to mile lekin ai sipahr
us shokh ko bhi raah pe laana zaroor tha

kal paanv ek kaasa-e-sar par jo aa gaya
yaksar vo ustukhwaan shikaston se choor tha

kehne laga ki dekh ke chal raah be-khabar
main bhi kabhu kisoo ka sar-e-pur-ghuroor tha

tha vo to rashk-e-hoor-e-beheshti humeen mein meer
samjhe na hum to fahm ka apni qusoor tha

था मुस्तआर हुस्न से उस के जो नूर था
ख़ुर्शीद में भी उस ही का ज़र्रा ज़ुहूर था

हंगामा गर्म-कुन जो दिल-ए-ना-सुबूर था
पैदा हर एक नाले से शोर-ए-नुशूर था

पहुँचा जो आप को तो मैं पहुँचा ख़ुदा के तईं
मालूम अब हुआ कि बहुत मैं भी दूर था

आतिश बुलंद दिल की न थी वर्ना ऐ कलीम
यक शो'ला बर्क़-ए-ख़िर्मन-ए-सद-कोह-ए-तूर था

मज्लिस में रात एक तिरे परतवे बग़ैर
क्या शम्अ क्या पतंग हर इक बे-हुज़ूर था

उस फ़स्ल में कि गुल का गरेबाँ भी है हवा
दीवाना हो गया सो बहुत ज़ी-शुऊर था

मुनइ'म के पास क़ाक़ुम ओ संजाब था तो क्या
उस रिंद की भी रात गुज़र गई जो ऊर था

हम ख़ाक में मिले तो मिले लेकिन ऐ सिपहर
उस शोख़ को भी राह पे लाना ज़रूर था

कल पाँव एक कासा-ए-सर पर जो आ गया
यकसर वो उस्तुख़्वान शिकस्तों से चूर था

कहने लगा कि देख के चल राह बे-ख़बर
मैं भी कभू किसू का सर-ए-पुर-ग़ुरूर था

था वो तो रश्क-ए-हूर-ए-बहिश्ती हमीं में 'मीर'
समझे न हम तो फ़हम का अपनी क़ुसूर था

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari