ab nahin seene mein mere jaa-e-daagh | अब नहीं सीने में मेरे जा-ए-दाग़

  - Meer Taqi Meer

ab nahin seene mein mere jaa-e-daagh
soz-e-dil se daagh hai baala-e-daagh

dil jala aankhen jali jee jal gaya
ishq ne kya kya hamein dikhlaaye daagh

dil jigar jal kar hue hain dono ek
darmiyaan aaya hai jab se paa-e-daagh

mufail hain lala o sham'a o charaagh
ham ne bhi kya aashiqi mein khaaye daagh

vo nahin ab meer jo chaati jale
kha gaya saare jigar ko haaye daagh

अब नहीं सीने में मेरे जा-ए-दाग़
सोज़-ए-दिल से दाग़ है बाला-ए-दाग़

दिल जला आँखें जलीं जी जल गया
इश्क़ ने क्या क्या हमें दिखलाए दाग़

दिल जिगर जल कर हुए हैं दोनों एक
दरमियाँ आया है जब से पा-ए-दाग़

मुन्फ़इल हैं लाला ओ शम्अ' ओ चराग़
हम ने भी क्या आशिक़ी में खाए दाग़

वो नहीं अब 'मीर' जो छाती जले
खा गया सारे जिगर को हाए दाग़

  - Meer Taqi Meer

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari