dil jo tha ik aablaa foota gaya | दिल जो था इक आबला फूटा गया

  - Meer Taqi Meer

dil jo tha ik aablaa foota gaya
raat ko seena bahut koota gaya

tair-e-rang-e-hina ki si tarah
dil na is ke haath se chhoota gaya

main na kehta tha ki munh kar dil ki aur
ab kahaan vo aaina toota gaya

dil ki veeraani ka kya mazkoor hai
ye nagar sau martaba lootaa gaya

meer kis ko ab dimaagh-e-guftugoo
umr guzri rekhta chhoota gaya

दिल जो था इक आबला फूटा गया
रात को सीना बहुत कूटा गया

ताइर-ए-रंग-ए-हिना की सी तरह
दिल न इस के हाथ से छूटा गया

मैं न कहता था कि मुँह कर दिल की और
अब कहाँ वो आईना टूटा गया

दिल की वीरानी का क्या मज़कूर है
ये नगर सौ मर्तबा लूटा गया

'मीर' किस को अब दिमाग़-ए-गुफ़्तुगू
उम्र गुज़री रेख़्ता छूटा गया

  - Meer Taqi Meer

Aaina Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Aaina Shayari Shayari