ho aajiz ki jism is qadar zor se
na nikla kabhu uhda-e-mor se
bahut door koi raha hai magar
ki fariyaad mein hai jars shor se
meri khaak-e-tafta par ai abr-e-tar
qasam hai tujhe tak baras zor se
tire dil-jale ko rakha jis ghadi
dhuaan sa utha kuchh lab-e-gor se
na poocho ki be-e'tibaari se main
hua us gali mein butar chor se
nahin soojhtaa kuchh jo us bin hamein
baghair us ke rahte hain ham kor se
jo ho meer bhi is gali mein saba
bahut poochiyo to meri or se
हो आजिज़ कि जिस्म इस क़दर ज़ोर से
न निकला कभू उहदा-ए-मोर से
बहुत दूर कोई रहा है मगर
कि फ़रियाद में है जरस शोर से
मिरी ख़ाक-ए-तफ़्ता पर ऐ अब्र-ए-तर
क़सम है तुझे टक बरस ज़ोर से
तिरे दिल-जले को रखा जिस घड़ी
धुआँ सा उठा कुछ लब-ए-गोर से
न पूछो कि बे-ए'तिबारी से मैं
हुआ उस गली में बतर चोर से
नहीं सूझता कुछ जो उस बिन हमें
बग़ैर उस के रहते हैं हम कोर से
जो हो 'मीर' भी इस गली में सबा
बहुत पूछियो तो मिरी ओर से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Pollution Shayari Shayari