hijraan ki koft kheeche be-dam se ho chale hain
sar maar maar ya'ni ab ham bhi so chale hain
javeen raheingi jaari gulshan mein ek muddat
saaye mein har shajar ke ham zor ro chale hain
labreiz ashk aankhen har baat mein raha keen
ro ro ke kaam apne sab ham dubo chale hain
pachhtaaiye na kyunkar jee is tarah se de kar
ye gauhar-giraami ham muft kho chale hain
qat'a tariq mushkil hai ishq ka nihaayat
ve meer jaante hain is raah jo chale hain
हिज्राँ की कोफ़्त खींचे बे-दम से हो चले हैं
सर मार मार या'नी अब हम भी सो चले हैं
जवीं रहेंगी जारी गुलशन में एक मुद्दत
साए में हर शजर के हम ज़ोर रो चले हैं
लबरेज़ अश्क आँखें हर बात में रहा कीं
रो रो के काम अपने सब हम डुबो चले हैं
पछताइए न क्यूँकर जी इस तरह से दे कर
ये गौहर-गिरामी हम मुफ़्त खो चले हैं
क़त्अ तरीक़ मुश्किल है इश्क़ का निहायत
वे 'मीर' जानते हैं इस राह जो चले हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Aansoo Shayari Shayari