gul-o-bulbul bahaar mein dekha
ek tujh ko hazaar mein dekha
jal gaya dil safed hain aankhen
ye to kuchh intizaar mein dekha
jaisa muztar tha zindagi mein dil
wohi main ne qaraar mein dekha
aable ka bhi hona daman-geer
tere kooche ke khaar mein dekha
teera aalam hua ye roj-e-siyaah
apne dil ke ghubaar mein dekha
zabh kar main kaha tha marta hoon
dam nahin mujh shikaar mein dekha
jin balaaon ko meer sunte the
un ko is rozgaar mein dekha
गुल-ओ-बुलबुल बहार में देखा
एक तुझ को हज़ार में देखा
जल गया दिल सफ़ेद हैं आँखें
ये तो कुछ इंतिज़ार में देखा
जैसा मुज़्तर था ज़िंदगी में दिल
वोहीं मैं ने क़रार में देखा
आबले का भी होना दामन-गीर
तेरे कूचे के ख़ार में देखा
तीरा आलम हुआ ये रोज़-ए-सियाह
अपने दिल के ग़ुबार में देखा
ज़ब्ह कर मैं कहा था मरता हूँ
दम नहीं मुझ शिकार में देखा
जिन बलाओं को 'मीर' सुनते थे
उन को इस रोज़गार में देखा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Paani Shayari Shayari