juz jurm-e-ishq koi bhi saabit kiya gunaah | जुज़ जुर्म-ए-इश्क़ कोई भी साबित किया गुनाह

  - Meer Taqi Meer

juz jurm-e-ishq koi bhi saabit kiya gunaah
naahak hamaari jaan li achhe ho waah waah

ab kaisa chaak chaak ho dil us ke hijr mein
gutthavaan to lakht-e-dil se nikalti hai meri aah

shaam shab-e-visaal hui yaa ki is taraf
hone laga tuloo hi khurshid roo-siyaah

guzra main us sulook se dekha na kar mujhe
barchi si laag ja hai jigar mein tiri nigaah

daaman-o-jeb chaak kharaabi-o-khastagi
un se tire firaq mein ham ne kiya nibaah

betaabiyon ko saunp na dena kahi mujhe
ai sabr main ne aan ke li hai tiri panaah

khoon-basta baare rahne lagi ab to ye mizaa
aansu ki boond jis se tapakti thi gaah gaah

gul se shagufta daagh dikhaata hoon tere teen
gar mawaafaqat kare hai tanik mujh se saal-o-maah

gar manaa mujh ko karte hain teri gali se log
kyunkar na jaaun mujh ko to marna hai khwa-makhwah

naahak uljh pada hai ye mujh se tareeq-e-ishq
jaata tha meer mein to chala apni raah raah

जुज़ जुर्म-ए-इश्क़ कोई भी साबित किया गुनाह
नाहक़ हमारी जान ली अच्छे हो वाह वाह

अब कैसा चाक चाक हो दिल उस के हिज्र में
गुथ्थवाँ तो लख़्त-ए-दिल से निकलती है मेरी आह

शाम शब-ए-विसाल हुई याँ कि इस तरफ़
होने लगा तुलूअ' ही ख़ुर्शीद रू-सियाह

गुज़रा मैं उस सुलूक से देखा न कर मुझे
बर्छी सी लाग जा है जिगर में तिरी निगाह

दामान-ओ-जेब चाक ख़राबी-ओ-ख़स्तगी
उन से तिरे फ़िराक़ में हम ने किया निबाह

बेताबियों को सौंप न देना कहीं मुझे
ऐ सब्र मैं ने आन के ली है तिरी पनाह

ख़ूँ-बस्ता बारे रहने लगी अब तो ये मिज़ा
आँसू की बूँद जिस से टपकती थी गाह गाह

गुल से शगुफ़्ता दाग़ दिखाता हूँ तेरे तीं
गर मुवाफ़क़त करे है तनिक मुझ से साल-ओ-माह

गर मना मुझ को करते हैं तेरी गली से लोग
क्यूँकर न जाऊँ मुझ को तो मरना है ख़्वा-मख़्वाह

नाहक़ उलझ पड़ा है ये मुझ से तरीक़-ए-इश्क़
जाता था 'मीर' में तो चला अपनी राह राह

  - Meer Taqi Meer

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari