hain ba'ad mere marg ke aasaar se ab tak
sookha nahin lohoo dar-o-deewar se ab tak
rangeeni-e-ishq is ke mile par hui ma'aloom
sohbat na hui thi kisi khoon-khwaar se ab tak
kab se mutahammil hai jafaon ka dil-e-zaar
zinhaar-wafa ho na saki yaar se ab tak
abroo hi ki jumbish ne ye suthrao kiye hain
maara nahin un ne koi talwaar se ab tak
wa'da bhi qayamat ka bhala koi hai wa'da
par dil nahin khaali gham-e-deedaar se ab tak
muddat hui ghut ghut ke hamein shehar mein marte
waqif na hua koi us asraar se ab tak
barson hue dil-sokhta bulbul ko mooe lek
ik dood sa uthata hai chaman-zaar se ab tak
kya jaaniye hote hain sukhun lutf ke kaise
poocha nahin un ne to hamein pyaar se ab tak
us baagh mein aghlab hai ki sarzad na hua ho
yun naala-kaso murgh-e-giriftaar se ab tak
khat aaye pe bhi din hai siyah tum se hamaara
jaata nahin andher ye sarkaar se ab tak
nikla tha kahi vo gul-e-naazuk shab-e-mah mein
so koft nahin jaati hai rukhsaar se ab tak
dekha tha kahi saaya tire qad ka chaman mein
hain meer'-ji aawaara-paree daar se ab tak
हैं बा'द मिरे मर्ग के आसार से अब तक
सूखा नहीं लोहू दर-ओ-दीवार से अब तक
रंगीनी-ए-इश्क़ इस के मिले पर हुई मा'लूम
सोहबत न हुई थी किसी खूँ-ख़्वार से अब तक
कब से मुतहम्मिल है जफ़ाओं का दिल-ए-ज़ार
ज़िन्हार-वफ़ा हो न सकी यार से अब तक
अबरू ही की जुम्बिश ने ये सुथराओ किए हैं
मारा नहीं उन ने कोई तलवार से अब तक
वा'दा भी क़यामत का भला कोई है वा'दा
पर दिल नहीं ख़ाली ग़म-ए-दीदार से अब तक
मुद्दत हुई घुट घुट के हमें शहर में मरते
वाक़िफ़ न हुआ कोई उस असरार से अब तक
बरसों हुए दिल-सोख़्ता बुलबुल को मूए लेक
इक दूद सा उठता है चमन-ज़ार से अब तक
क्या जानिए होते हैं सुख़न लुत्फ़ के कैसे
पूछा नहीं उन ने तो हमें प्यार से अब तक
उस बाग़ में अग़्लब है कि सरज़द न हुआ हो
यूँ नाला-कसो मुर्ग़-ए-गिरफ़्तार से अब तक
ख़त आए पे भी दिन है सियह तुम से हमारा
जाता नहीं अंधेर ये सरकार से अब तक
निकला था कहीं वो गुल-ए-नाज़ुक शब-ए-मह में
सो कोफ़्त नहीं जाती है रुख़्सार से अब तक
देखा था कहीं साया तिरे क़द का चमन में
हैं 'मीर'-जी आवारा-परी दार से अब तक
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Environment Shayari Shayari