gham raha jab tak ki dam mein dam raha
dil ke jaane ka nihaayat gham raha
husn tha tera bahut aalam-fareb
khat ke aane par bhi ik aalam raha
dil na pahuncha gosha-e-daamaan talak
qatra-e-khoon tha mizaa par jam raha
sunte hain leila ke kheme ko siyaah
us mein majnoon ka magar maatam raha
jaama-e-ehraam-e-zaahid par na ja
tha haram mein lek na-mahram raha
zulfen kholee to tu tuk aaya nazar
umr bhar yaa kaam-e-dil barham raha
us ke lab se talkh ham sunte rahe
apne haq mein aab-e-haiwaan sam raha
mere rone ki haqeeqat jis mein thi
ek muddat tak vo kaaghaz nam raha
subh-e-peeri shaam hone aayi meer
tu na cheta yaa bahut din kam raha
ग़म रहा जब तक कि दम में दम रहा
दिल के जाने का निहायत ग़म रहा
हुस्न था तेरा बहुत आलम-फ़रेब
ख़त के आने पर भी इक आलम रहा
दिल न पहुँचा गोशा-ए-दामाँ तलक
क़तरा-ए-ख़ूँ था मिज़ा पर जम रहा
सुनते हैं लैला के ख़ेमे को सियाह
उस में मजनूँ का मगर मातम रहा
जामा-ए-एहराम-ए-ज़ाहिद पर न जा
था हरम में लेक ना-महरम रहा
ज़ुल्फ़ें खोलीं तो तू टुक आया नज़र
उम्र भर याँ काम-ए-दिल बरहम रहा
उस के लब से तल्ख़ हम सुनते रहे
अपने हक़ में आब-ए-हैवाँ सम रहा
मेरे रोने की हक़ीक़त जिस में थी
एक मुद्दत तक वो काग़ज़ नम रहा
सुब्ह-ए-पीरी शाम होने आई 'मीर'
तू न चेता याँ बहुत दिन कम रहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Sach Shayari Shayari