mue sahte sahte jafaa-kaariyaan
koi ham se seekhe wafaadaariyaan
hamaari to guzri isee taur umr
yahi naala karna yahi zaariyan
farishta jahaan kaam karta na tha
meri aah ne barchiyaan maariyaan
gaya jaan se ik jahaan le ke shokh
na tujh se gaeein ye dil-aazaariyaan
kahaan tak ye takleef-e-ma la-yutaq
hui muddaton naaz-bardaariyaan
khat-o-kaakul-o-zulf-o-andaaz-o-naaz
hui daam-e-rah sad-giriftaariyaan
kiya dard-o-gham ne mujhe na-umeed
ki majnoon ko ye hi theen beemaariyaan
tiri aashnaai se hi had hui
bahut ki theen duniya mein ham yaariyaan
na bhaai hamaari to qudrat nahin
khinchiin meer tujh se hi ye khwaariyaan
मुए सहते सहते जफ़ा-कारियाँ
कोई हम से सीखे वफ़ादारियाँ
हमारी तो गुज़री इसी तौर उम्र
यही नाला करना यही ज़ारियाँ
फ़रिश्ता जहाँ काम करता न था
मिरी आह ने बर्छियाँ मारियाँ
गया जान से इक जहाँ ले के शोख़
न तुझ से गईं ये दिल-आज़ारियाँ
कहाँ तक ये तकलीफ़-ए-मा ला-युताक़
हुईं मुद्दतों नाज़-बर्दारियाँ
ख़त-ओ-काकुल-ओ-ज़ुल्फ़-ओ-अंदाज़-ओ-नाज़
हुईं दाम-ए-रह सद-गिरफ़्तारियाँ
किया दर्द-ओ-ग़म ने मुझे ना-उमीद
कि मजनूँ को ये ही थीं बीमारियाँ
तिरी आश्नाई से ही हद हुई
बहुत की थीं दुनिया में हम यारियाँ
न भाई हमारी तो क़ुदरत नहीं
खिंचीं 'मीर' तुझ से ही ये ख़्वारियाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Aah Shayari Shayari