ab ke bhi sair baagh ki jee mein havas rahi | अब के भी सैर बाग़ की जी में हवस रही

  - Meer Taqi Meer

ab ke bhi sair baagh ki jee mein havas rahi
apni jagah bahaar mein kunj-e-qafas rahi

main pa-shikasta ja na saka qafile talak
aati agarche der sada-e-jars rahi

lutf qaba-e-tang pe gul ka baja hai naaz
dekhi nahin hai un ne tiri choli chus rahi

din-raat meri aankhon se aansu chale gaye
barsaat ab ke shehar mein saare baras rahi

khaali shaguftagi se jaraahat nahin koi
har zakham yaa hai jaise kali ho baks rahi

deewaangi kahaan ki garebaan se tang hoon
gardan meri hai tauq mein goya ki fans rahi

jon subh is chaman mein na ham khul ke hans sake
furqat rahi jo meer bhi so ya-nafas rahi

अब के भी सैर बाग़ की जी में हवस रही
अपनी जगह बहार में कुंज-ए-क़फ़स रही

मैं पा-शिकस्ता जा न सका क़ाफ़िले तलक
आती अगरचे देर सदा-ए-जरस रही

लुत्फ़ क़बा-ए-तंग पे गुल का बजा है नाज़
देखी नहीं है उन ने तिरी चोली चुस रही

दिन-रात मेरी आँखों से आँसू चले गए
बरसात अब के शहर में सारे बरस रही

ख़ाली शगुफ़्तगी से जराहत नहीं कोई
हर ज़ख़्म याँ है जैसे कली हो बक्स रही

दीवानगी कहाँ कि गरेबाँ से तंग हूँ
गर्दन मिरी है तौक़ में गोया कि फँस रही

जों सुब्ह इस चमन में न हम खुल के हँस सके
फ़ुर्सत रही जो 'मीर' भी सो यक-नफ़स रही

  - Meer Taqi Meer

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari