nikle hai chashma jo koi josh-e-zanaan paani ka | निकले है चश्मा जो कोई जोश-ए-ज़नाँ पानी का

  - Meer Taqi Meer

nikle hai chashma jo koi josh-e-zanaan paani ka
yaad vo hai vo kaso chashm ki giryani ka

lutf agar ye hai butaan sandal peshaani ka
husn kya subh ke phir chehra-e-nooraani ka

kufr kuchh chahiye islaam ki raunaq ke liye
husn zunnar hai tasbeeh-e-sulaimaani ka

darhami haal ki hai saare mere deewaan mein
sair kar tu bhi ye majmua pareshaani ka

jaan ghabraati hai andoh se tan mein kya kya
tang ahvaal hai us yoosuf-e-zindaanii ka

khel ladkon ka samjhte the mohabbat ke tai
hai bada haif hamein apni bhi nadaani ka

vo bhi jaane ki lahu ro ke likha hai maktub
ham ne sar naama kiya kaaghaz afshaani ka

us ka munh dekh raha hoon so wahi dekhoon hoon
naqsh ka sa hai samaan meri bhi hairaani ka

but-parasti ko to islaam nahin kahte hain
mo'taqid kaun hai meer aisi musalmaani ka

निकले है चश्मा जो कोई जोश-ए-ज़नाँ पानी का
याद वो है वो कसो चश्म की गिर्यानी का

लुत्फ़ अगर ये है बुताँ संदल पेशानी का
हुस्न क्या सुब्ह के फिर चेहरा-ए-नूरानी का

कुफ़्र कुछ चाहिए इस्लाम की रौनक़ के लिए
हुस्न ज़ुन्नार है तस्बीह-ए-सुलैमानी का

दरहमी हाल की है सारे मिरे दीवाँ में
सैर कर तू भी ये मजमूआ' परेशानी का

जान घबराती है अंदोह से तन में क्या क्या
तंग अहवाल है उस यूसुफ़-ए-ज़िंदानी का

खेल लड़कों का समझते थे मोहब्बत के तईं
है बड़ा हैफ़ हमें अपनी भी नादानी का

वो भी जाने कि लहू रो के लिखा है मक्तूब
हम ने सर नामा किया काग़ज़ अफ़्शानी का

उस का मुँह देख रहा हूँ सो वही देखूँ हूँ
नक़्श का सा है समाँ मेरी भी हैरानी का

बुत-परस्ती को तो इस्लाम नहीं कहते हैं
मो'तक़िद कौन है 'मीर' ऐसी मुसलमानी का

  - Meer Taqi Meer

Husn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Husn Shayari Shayari