juda jo pahluu se vo dilbar yagaana hua
tapish ki yaa tai dil ne ki dard shaana hua
jahaan ko fitne se khaali kabhu nahin paaya
hamaare waqt mein to aafat zamaana hua
khalish nahin kaso khwaahish ki raat se shaayad
sarishk-e-yaas ke parde mein dil ravana hua
ham apne dil ki chale dil hi mein liye yaa se
hazaar haif sar-e-harf us se vaa na hua
khula nashe mein jo pagdi ka pech us ki meer
samand-e-naaz pe ek aur taaziyaana hua
जुदा जो पहलू से वो दिलबर यगाना हुआ
तपिश की याँ तईं दिल ने कि दर्द शाना हुआ
जहाँ को फ़ित्ने से ख़ाली कभू नहीं पाया
हमारे वक़्त में तो आफ़त ज़माना हुआ
ख़लिश नहीं कसो ख़्वाहिश की रात से शायद
सरिश्क-ए-यास के पर्दे में दिल रवाना हुआ
हम अपने दिल की चले दिल ही में लिए याँ से
हज़ार हैफ़ सर-ए-हर्फ़ उस से वा न हुआ
खुला नशे में जो पगड़ी का पेच उस की 'मीर'
समंद-ए-नाज़ पे एक और ताज़ियाना हुआ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Neend Shayari Shayari