khaatir kare hai jama vo har baar ek tarah | ख़ातिर करे है जमा वो हर बार एक तरह

  - Meer Taqi Meer

khaatir kare hai jama vo har baar ek tarah
karta hai charkh mujh se naye yaar ek tarah

main aur qais o kohkan ab jo zabaan pe hain
maare gaye hain sab ye gunahgaar ek tarah

manzoor us ko parde mein hain be-hijaabiyaan
kis se hua do-chaar vo ayyaar ek tarah

sab tarhein us ki apni nazar mein theen kya kahein
par ham bhi ho gaye hain girftaar ek tarah

ghar us ke ja ke aate hain paamaal ho ke ham
kariye makaan hi ab sar-e-bazaar ek tarah

gah gul hai gaah rang gahe baagh ki hai boo
aata nahin nazar vo tarh-daar ek tarah

nairang husn-e-dost se kar aankhen aashna
mumkin nahin wagarana ho deedaar ek tarah

sau tarah tarah dekh tabeebon ne ye kaha
sehat pazir hue ye beemaar ek tarah

so bhi hazaar tarah se theharvaate hain ham
taskin ke liye tiri naachaar ek tarah

bin jee diye ho koi tarah faaeda nahin
gar hai to ye hai ai jigar afgaar ek tarah

har tarah tu zaleel hi rakhta hai meer ko
hota hai aashiqi mein koi khwaar ek tarah

ख़ातिर करे है जमा वो हर बार एक तरह
करता है चर्ख़ मुझ से नए यार एक तरह

मैं और क़ैस ओ कोहकन अब जो ज़बाँ पे हैं
मारे गए हैं सब ये गुनहगार एक तरह

मंज़ूर उस को पर्दे में हैं बे-हिजाबियाँ
किस से हुआ दो-चार वो अय्यार एक तरह

सब तरहें उस की अपनी नज़र में थीं क्या कहें
पर हम भी हो गए हैं गिरफ़्तार एक तरह

घर उस के जा के आते हैं पामाल हो के हम
करिए मकाँ ही अब सर-ए-बाज़ार एक तरह

गह गुल है गाह रंग गहे बाग़ की है बू
आता नहीं नज़र वो तरह-दार एक तरह

नैरंग हुस्न-ए-दोस्त से कर आँखें आश्ना
मुमकिन नहीं वगरना हो दीदार एक तरह

सौ तरह तरह देख तबीबों ने ये कहा
सेहत पज़ीर हुए ये बीमार एक तरह

सो भी हज़ार तरह से ठहरवाते हैं हम
तस्कीन के लिए तिरी नाचार एक तरह

बिन जी दिए हो कोई तरह फ़ाएदा नहीं
गर है तो ये है ऐ जिगर अफ़गार एक तरह

हर तरह तू ज़लील ही रखता है 'मीर' को
होता है आशिक़ी में कोई ख़्वार एक तरह

  - Meer Taqi Meer

Rang Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Rang Shayari Shayari