kar naala-kashi kab tai auqaat guzaaren | कर नाला-कशी कब तईं औक़ात गुज़ारें

  - Meer Taqi Meer

kar naala-kashi kab tai auqaat guzaaren
fariyaad karein kis se kahaan ja ke pukaare

har-dam ka bigadna to kuchh ab chhoota hai in se
shaayad kisi naakaam ka bhi kaam sanwaare

dil mein jo kabhu josh-e-gham uthata hai to ta-der
aankhon se chali jaati hain dariya ki si dhaarein

kya zulm hai us khooni-e-aalam ki gali mein
jab ham gaye do-chaar nayi dekhen mazaarein

jis ja ki khas-o-khaar ke ab dher lage hain
yaa ham ne unhen aankhon se dekhen hain bahaarein

kyunkar ke rahe sharam meri shehar mein jab aah
naamoose kahaan utren jo dariya pe izaarein

ve hont ki hai shor-e-masihaai ka jin ki
dam leven na do-chaar ko ta jee se na maarein

manzoor hai kab se sar-e-shooreeda ka dena
chadh jaaye nazar koi to ye bojh utaarein

baaleen pe sar ik umr se hai dast-e-talab ka
jo hai so gada kis kane ja haath pasaarein

un logon ke to gard na phir sab hain libaasi
sau gaz bhi jo ye faadein to ik gaz bhi na waaren

naachaar ho ruksat jo manga bheji to bola
main kya karoon jo meer'-ji jaate hain sudhaarein

कर नाला-कशी कब तईं औक़ात गुज़ारें
फ़रियाद करें किस से कहाँ जा के पुकारें

हर-दम का बिगड़ना तो कुछ अब छूटा है इन से
शायद किसी नाकाम का भी काम सँवारें

दिल में जो कभू जोश-ए-ग़म उठता है तो ता-देर
आँखों से चली जाती हैं दरिया की सी धारें

क्या ज़ुल्म है उस ख़ूनी-ए-आलम की गली में
जब हम गए दो-चार नई देखें मज़ारें

जिस जा कि ख़स-ओ-ख़ार के अब ढेर लगे हैं
याँ हम ने उन्हें आँखों से देखें हैं बहारें

क्यूँकर के रहे शरम मिरी शहर में जब आह
नामूस कहाँ उतरें जो दरिया पे इज़ारें

वे होंट कि है शोर-ए-मसीहाई का जिन की
दम लेवें न दो-चार को ता जी से न मारें

मंज़ूर है कब से सर-ए-शोरीदा का देना
चढ़ जाए नज़र कोई तो ये बोझ उतारें

बालीं पे सर इक उम्र से है दस्त-ए-तलब का
जो है सो गदा किस कने जा हाथ पसारें

उन लोगों के तो गर्द न फिर सब हैं लिबासी
सौ गज़ भी जो ये फाड़ें तो इक गज़ भी न वारें

नाचार हो रुख़्सत जो मँगा भेजी तो बोला
मैं क्या करूँ जो 'मीर'-जी जाते हैं सुधारें

  - Meer Taqi Meer

Nadii Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Nadii Shayari Shayari