do din se kuchh bani thi so phir shab bigad gai | दो दिन से कुछ बनी थी सो फिर शब बिगड़ गई

  - Meer Taqi Meer

do din se kuchh bani thi so phir shab bigad gai
sohbat hamaari yaar se bedhab bigad gai

waashud kuchh aage aah si hoti thi dil ke tai
iqlim-e-aashiqi ki hawa ab bigad gai

garmi ne dil ki hijr mein us ke jala diya
shaayad ki ehtiyaat se ye tab bigad gai

khat ne nikal ke naqsh dilon ke utha diye
soorat buton ki achhi jo thi sab bigad gai

baaham sulook tha to uthaate the narm garm
kahe ko meer koi dabey jab bigad gai

दो दिन से कुछ बनी थी सो फिर शब बिगड़ गई
सोहबत हमारी यार से बेढब बिगड़ गई

वाशुद कुछ आगे आह सी होती थी दिल के तईं
इक़्लीम-ए-आशिक़ी की हवा अब बिगड़ गई

गर्मी ने दिल की हिज्र में उस के जला दिया
शायद कि एहतियात से ये तब बिगड़ गई

ख़त ने निकल के नक़्श दिलों के उठा दिए
सूरत बुतों की अच्छी जो थी सब बिगड़ गई

बाहम सुलूक था तो उठाते थे नर्म गर्म
काहे को 'मीर' कोई दबे जब बिगड़ गई

  - Meer Taqi Meer

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari