ghazal meer ki kab padhaai nahin
ki haalat mujhe ghash ki aayi nahin
zabaan se hamaari hai sayyaad khush
hamein ab ummeed-e-rihaai nahin
kitaabat gai kab ki us shokh ne
bana us ki gaddi udaai nahin
naseem aayi mere qafas mein abas
gulistaan se do phool laai nahin
meri dil-lagi us ke roo se hi hai
gul-e-tar se kuchh aashnaai nahin
navishte ki khoobi likhi kab gai
kitaabat bhi ek ab tak aayi nahin
juda rahte barson hue kyunki ye
kinaaya nahin be-adaai nahin
gila hijr ka sun ke kehne laga
hamaare tumhaare judaai nahin
siyah-taalai meri zaahir hai ab
nahin shab ki us se ladai nahin
ग़ज़ल 'मीर' की कब पढ़ाई नहीं
कि हालत मुझे ग़श की आई नहीं
ज़बाँ से हमारी है सय्याद ख़ुश
हमें अब उम्मीद-ए-रिहाई नहीं
किताबत गई कब कि उस शोख़ ने
बना उस की गड्डी उड़ाई नहीं
नसीम आई मेरे क़फ़स में अबस
गुलिस्ताँ से दो फूल लाई नहीं
मिरी दिल-लगी उस के रू से ही है
गुल-ए-तर से कुछ आश्नाई नहीं
नविश्ते की ख़ूबी लिखी कब गई
किताबत भी एक अब तक आई नहीं
जुदा रहते बरसों हुए क्यूँकि ये
किनाया नहीं बे-अदाई नहीं
गिला हिज्र का सुन के कहने लगा
हमारे तुम्हारे जुदाई नहीं
सियह-तालई मेरी ज़ाहिर है अब
नहीं शब कि उस से लड़ाई नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Dosti Shayari Shayari