jaana ki shaghl rakhte ho teer-o-kamaan se tum | जाना कि शग़्ल रखते हो तीर-ओ-कमाँ से तुम - Meer Taqi Meer

jaana ki shaghl rakhte ho teer-o-kamaan se tum
par mil chala karo bhi kaso khasta-jaan se tum

hum apni chaak jeb ko si rahte ya nahin
faate mein paanv dene ko aaye kahaan se tum

ab dekhte hain khoob to vo baat hi nahin
kya kya vagarna kahte the apni zabaan se tum

tinke bhi tum theharte kahi dekhe hain tanik
chashm-e-wafaa rakho na khasaan-e-jahaan se tum

jaao na dil se manzar-e-tan mein hai ja yahi
pachtayoge uthoge agar is makaan se tum

qissa mera sunoge to jaati rahegi neend
aaraam chashm mat rakho is dastaan se tum

khul jaayengi phir aankhen jo mar jaayega koi
aate nahin ho baaz mere imtihaan se tum

jitne the kal tum aaj nahin paate itna hum
har-dam chale hi jaate ho aab-e-ravaan se tum

rahte nahin ho ban gaye meer us gali mein raat
kuch raah bhi nikaalo sag-o-paasbaan se tum

जाना कि शग़्ल रखते हो तीर-ओ-कमाँ से तुम
पर मिल चला करो भी कसो ख़स्ता-जाँ से तुम

हम अपनी चाक जेब को सी रहते या नहीं
फाटे में पाँव देने को आए कहाँ से तुम

अब देखते हैं ख़ूब तो वो बात ही नहीं
क्या क्या वगर्ना कहते थे अपनी ज़बाँ से तुम

तिनके भी तुम ठहरते कहीं देखे हैं तनिक
चश्म-ए-वफ़ा रखो न ख़सान-ए-जहाँ से तुम

जाओ न दिल से मंज़र-ए-तन में है जा यही
पछताओगे उठोगे अगर इस मकाँ से तुम

क़िस्सा मिरा सुनोगे तो जाती रहेगी नींद
आराम चश्म मत रखो इस दास्ताँ से तुम

खुल जाएँगी फिर आँखें जो मर जाएगा कोई
आते नहीं हो बाज़ मिरे इम्तिहाँ से तुम

जितने थे कल तुम आज नहीं पाते इतना हम
हर-दम चले ही जाते हो आब-ए-रवाँ से तुम

रहते नहीं हो बन गए 'मीर' उस गली में रात
कुछ राह भी निकालो सग-ओ-पास्बाँ से तुम

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari