aah-e-sehr ne sozish-e-dil ko mita diya
us baav ne hamein to diya sa bujha diya
samjhi na baad subh ki aa kar utha diya
is fitna-e-zamaana ko naahak jaga diya
poshida raaz-e-ishq chala jaaye tha sau aaj
be-taaqati ne dil ki vo parda utha diya
us mauj-khez dehr mein ham ko qaza ne aah
paani ke bulbule ki tarah se mita diya
thi laag us ki teg ko ham se sau ishq ne
dono ko ma'arke mein gale se mila diya
sab shor-e-ma-o-man ko liye sar mein mar gaye
yaaron ko is fasaane ne aakhir sula diya
aawaargaan-e-ishq ka poocha jo main nishaan
musht-e-ghubaar le ke saba ne uda diya
ajzaa badan ke jitne the paani ho bah gaye
aakhir gudaaz ishq ne ham ko baha diya
kya kuchh na tha azal mein na taalaa jo the durust
ham ko dil-shikasta qaza ne dila diya
goya muhaasaba mujhe dena tha ishq ka
us taur dil si cheez ko main ne laga diya
muddat rahegi yaad tire chehre ki jhalak
jalwe ko jis ne maah ke jee se bhula diya
ham ne to saadgi se kya jee ka bhi ziyaan
dil jo diya tha so to diya sar juda diya
boi kebab sokhta aayi dimaagh mein
shaayad jigar bhi aatish-e-gham ne jila diya
takleef dard-e-dil ki abas hum-nasheen ne ki
dard-e-sukhan ne mere sabhon ko rula diya
un ne to teg kheenchi thi par jee chala ke meer
ham ne bhi ek dam mein tamasha dikha diya
आह-ए-सहर ने सोज़िश-ए-दिल को मिटा दिया
उस बाव ने हमें तो दिया सा बुझा दिया
समझी न बाद सुब्ह कि आ कर उठा दिया
इस फ़ित्ना-ए-ज़माना को नाहक़ जगा दिया
पोशीदा राज़-ए-इश्क़ चला जाए था सौ आज
बे-ताक़ती ने दिल की वो पर्दा उठा दिया
उस मौज-ख़ेज़ दहर में हम को क़ज़ा ने आह
पानी के बुलबुले की तरह से मिटा दिया
थी लाग उस की तेग़ को हम से सौ इश्क़ ने
दोनों को मा'रके में गले से मिला दिया
सब शोर-ए-मा-ओ-मन को लिए सर में मर गए
यारों को इस फ़साने ने आख़िर सुला दिया
आवारगान-ए-इश्क़ का पूछा जो मैं निशाँ
मुश्त-ए-ग़ुबार ले के सबा ने उड़ा दिया
अज्ज़ा बदन के जितने थे पानी हो बह गए
आख़िर गुदाज़ इश्क़ ने हम को बहा दिया
क्या कुछ न था अज़ल में न ताला जो थे दुरुस्त
हम को दिल-शिकस्ता क़ज़ा ने दिला दिया
गोया मुहासबा मुझे देना था इश्क़ का
उस तौर दिल सी चीज़ को मैं ने लगा दिया
मुद्दत रहेगी याद तिरे चेहरे की झलक
जल्वे को जिस ने माह के जी से भुला दिया
हम ने तो सादगी से क्या जी का भी ज़ियाँ
दिल जो दिया था सो तो दिया सर जुदा दिया
बोई कबाब सोख़्ता आई दिमाग़ में
शायद जिगर भी आतिश-ए-ग़म ने जिला दिया
तकलीफ़ दर्द-ए-दिल की अबस हम-नशीं ने की
दर्द-ए-सुख़न ने मेरे सभों को रुला दिया
उन ने तो तेग़ खींची थी पर जी चला के 'मीर'
हम ने भी एक दम में तमाशा दिखा दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Valentine Shayari Shayari