mujh sa betaab hove jab koi | मुझ सा बेताब होवे जब कोई

  - Meer Taqi Meer

mujh sa betaab hove jab koi
be-qaraari ko jaane tab koi

haan khuda maghfirat kare us ko
sabr marhoom tha ajab koi

jaan de go maseeh par us se
baat kahte hain tere lab koi

ba'ad mere hi ho gaya sunsaan
sone paaya tha warna kab koi

us ke kooche mein hashr the mujh tak
aah-o-naala kare na ab koi

ek gham mein hoon main hi aalam mein
yun to shaadan hai aur sab koi

na-samajh yun khafa bhi hota hai
mujh se mukhlis se be-sabab koi

aur mahzoon bhi ham sune the wale
meer sa ho sake hai kab koi

ki talaffuz tarab ka sun ke kahe
shakhs hoga kahi tarab koi

मुझ सा बेताब होवे जब कोई
बे-क़रारी को जाने तब कोई

हाँ ख़ुदा मग़्फ़िरत करे उस को
सब्र मरहूम था अजब कोई

जान दे गो मसीह पर उस से
बात कहते हैं तेरे लब कोई

बा'द मेरे ही हो गया सुनसान
सोने पाया था वर्ना कब कोई

उस के कूचे में हश्र थे मुझ तक
आह-ओ-नाला करे न अब कोई

एक ग़म में हूँ मैं ही आलम में
यूँ तो शादाँ है और सब कोई

ना-समझ यूँ ख़फ़ा भी होता है
मुझ से मुख़्लिस से बे-सबब कोई

और महज़ूँ भी हम सुने थे वले
'मीर' सा हो सके है कब कोई

कि तलफ़्फ़ुज़ तरब का सुन के कहे
शख़्स होगा कहीं तरब कोई

  - Meer Taqi Meer

Gussa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Gussa Shayari Shayari