phir us se tarah kuchh jo da'we ki si daali hai
kya taaza koi gul ne ab shaakh nikaali hai
sach poocho to kab haiga us ka sa dehan guncha
taskin ke liye ham ne ik baat bana li hai
dehi ko na kuchh poocho ik bharat ka hai gadwa
tarkeeb se kya kahiye saanche mein ki dhaali hai
ham qadd-e-khamida se aaghosh hue saare
par faaeda tujh se to aaghosh vo khaali hai
izzat ki koi soorat dikhlai nahin deti
chup rahiye to chashmak hai kuchh kahiye to gaali hai
do-gaam ke chalne mein paamaal hua aalam
kuchh saari khudaai se vo chaal niraali hai
haigi to do saala par hai dukhtar-e-raz aafat
kya peer-e-mugaan ne bhi ik chhokri paali hai
khuun-rezi mein ham so ki jo khaak barabar hain
kab sar to faro laaya himmat tiri aali hai
jab sar chadhe hon aise tab ishq karein so bhi
jun tuun ye bala sar se farhaad ne taali hai
in mugbachon mein zaahid phir sar zada mat aana
mindil tiri ab ke ham ne to bacha li hai
kya meer tu rota hai paamali-e-dil hi ko
un laundon ne to dilli sab sar pe utha li hai
फिर उस से तरह कुछ जो दा'वे की सी डाली है
क्या ताज़ा कोई गुल ने अब शाख़ निकाली है
सच पूछो तो कब हैगा उस का सा दहन ग़ुंचा
तस्कीं के लिए हम ने इक बात बना ली है
देही को न कुछ पूछो इक भरत का है गड़वा
तरकीब से क्या कहिए साँचे में की ढाली है
हम क़द्द-ए-ख़मीदा से आग़ोश हुए सारे
पर फ़ाएदा तुझ से तो आग़ोश वो ख़ाली है
इज़्ज़त की कोई सूरत दिखलाई नहीं देती
चुप रहिए तो चश्मक है कुछ कहिए तो गाली है
दो-गाम के चलने में पामाल हुआ आलम
कुछ सारी ख़ुदाई से वो चाल निराली है
हैगी तो दो साला पर है दुख़्तर-ए-रज़ आफ़त
क्या पीर-ए-मुग़ाँ ने भी इक छोकरी पाली है
ख़ूँ-रेज़ी में हम सों की जो ख़ाक बराबर हैं
कब सर तो फ़रो लाया हिम्मत तिरी आली है
जब सर चढ़े हों ऐसे तब इश्क़ करें सो भी
जूँ तूँ ये बला सर से फ़रहाद ने टाली है
इन मुग़्बचों में ज़ाहिद फिर सर ज़दा मत आना
मिंदील तिरी अब के हम ने तो बचा ली है
क्या 'मीर' तू रोता है पामाली-ए-दिल ही को
उन लौंडों ने तो दिल्ली सब सर पे उठा ली है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Delhi Shayari Shayari