shaayad us saada ne rakha hai khat | शायद उस सादा ने रखा है ख़त

  - Meer Taqi Meer

shaayad us saada ne rakha hai khat
ki hamein muttasil likkha hai khat

shauq se baat badh gai thi bahut
daftar us ko likhen hain kya hai khat

naama kab yaar ne padha saara
na kaha ye bhi aashna hai khat

saath ham bhi gaye hain door talak
jab udhar ke tai chala hai khat

kuchh khalal raah mein hua ai meer
nama-bar kab se le gaya hai khat

शायद उस सादा ने रखा है ख़त
कि हमें मुत्तसिल लिक्खा है ख़त

शौक़ से बात बढ़ गई थी बहुत
दफ़्तर उस को लिखें हैं क्या है ख़त

नामा कब यार ने पढ़ा सारा
न कहा ये भी आश्ना है ख़त

साथ हम भी गए हैं दूर तलक
जब उधर के तईं चला है ख़त

कुछ ख़लल राह में हुआ ऐ 'मीर'
नामा-बर कब से ले गया है ख़त

  - Meer Taqi Meer

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari