mat ho maghroor ai ki tujh mein zor hai | मत हो मग़रूर ऐ कि तुझ में ज़ोर है

  - Meer Taqi Meer

mat ho maghroor ai ki tujh mein zor hai
yaa sulaimaan ke muqaabil mor hai

mar gaye par bhi hai saulat faqr ki
chashm-e-sheer apna charaagh-e-gor hai

jab se kaaghaz-baad ka hai shauq use
ek aalam us ke oopar dor hai

rahnumaai shaikh se mat chashm rakh
waaye vo jis ka asa kash-kor hai

le hi jaati hai zar-e-gul ko uda
subh ki bhi baav-baadi chor hai

dil khinche jaate hain saare us taraf
kyoonke kahiye haq hamaari or hai

tha bala hangaama-aara meer bhi
ab talak galiyon mein us ka shor hai

मत हो मग़रूर ऐ कि तुझ में ज़ोर है
याँ सुलैमाँ के मुक़ाबिल मोर है

मर गए पर भी है सौलत फ़क़्र की
चश्म-ए-शीर अपना चराग़-ए-गोर है

जब से काग़ज़-बाद का है शौक़ उसे
एक आलम उस के ऊपर डोर है

रहनुमाई शैख़ से मत चश्म रख
वाए वो जिस का असा कश-कोर है

ले ही जाती है ज़र-ए-गुल को उड़ा
सुब्ह की भी बाव-बादी चोर है

दिल खिंचे जाते हैं सारे उस तरफ़
क्यूँके कहिए हक़ हमारी ओर है

था बला हंगामा-आरा 'मीर' भी
अब तलक गलियों में उस का शोर है

  - Meer Taqi Meer

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari