lakht-e-jigar to apne yak-lakht ro chuka tha
ashk-e-faqat ka jhamka aankhon se lag raha tha
daaman mein aaj dekha phir lakht main le aaya
tukda koi jigar ka palkon mein rah gaya tha
us qaid-e-jeb se main chhota junoon ki daulat
warna gala ye mera jun tauq mein phansa tha
musht-e-namak ki khaatir is vaaste hoon hairaan
kal zakhm-e-dil nihaayat dil ko mere laga tha
ai gard-baad mat de har aan arz-e-wahshat
main bhi kasoo zamaane is kaam mein bala tha
bin kuchh kahe suna hai aalam se main ne kya kya
par tu ne yun na jaana ai bewafa ki kya tha
roti hai sham'a itna har shab ki kuchh na poocho
main soz-e-dil ko apne majlis mein kyun kaha tha
shab zakhm-e-seena oopar chhidka tha main namak ko
naasoor to kahaan tha zalim bada maza tha
sar maar kar hua tha main khaak us gali mein
seene pe mujh ko us ka mazkoor naqsh-e-paa tha
so bakht-e-teera se hoon paamaali-e-saba mein
us din ke vaaste main kya khaak mein mila tha
ye sar-guzasht meri afsaana jo hui hai
mazkoor us ka us ke kooche mein jaa-b-jaa tha
sun kar kisi se vo bhi kehne laga tha kuchh kuchh
be-dard kitne bole haan us ko kya hua tha
kehne laga ki jaane meri bala azizaan
ahvaal tha kisi ka kuchh main bhi sun liya tha
aankhen meri khuliin jab jee meer ka gaya tab
dekhe se us ko warna mera bhi jee jala tha
लख़्त-ए-जिगर तो अपने यक-लख़्त रो चुका था
अश्क-ए-फ़क़त का झमका आँखों से लग रहा था
दामन में आज देखा फिर लख़्त मैं ले आया
टुकड़ा कोई जिगर का पलकों में रह गया था
उस क़ैद-ए-जेब से मैं छोटा जुनूँ की दौलत
वर्ना गला ये मेरा जूँ तौक़ में फँसा था
मुश्त-ए-नमक की ख़ातिर इस वास्ते हूँ हैराँ
कल ज़ख़्म-ए-दिल निहायत दिल को मिरे लगा था
ऐ गर्द-बाद मत दे हर आन अर्ज़-ए-वहशत
मैं भी कसू ज़माने इस काम में बला था
बिन कुछ कहे सुना है आलम से मैं ने क्या क्या
पर तू ने यूँ न जाना ऐ बेवफ़ा कि क्या था
रोती है शम्अ' इतना हर शब कि कुछ न पूछो
मैं सोज़-ए-दिल को अपने मज्लिस में क्यूँ कहा था
शब ज़ख़्म-ए-सीना ऊपर छिड़का था मैं नमक को
नासूर तो कहाँ था ज़ालिम बड़ा मज़ा था
सर मार कर हुआ था मैं ख़ाक उस गली में
सीने पे मुझ को उस का मज़कूर नक़्श-ए-पा था
सो बख़्त-ए-तीरा से हूँ पामाली-ए-सबा में
उस दिन के वास्ते मैं क्या ख़ाक में मिला था
ये सर-गुज़श्त मेरी अफ़्साना जो हुई है
मज़कूर उस का उस के कूचे में जा-ब-जा था
सुन कर किसी से वो भी कहने लगा था कुछ कुछ
बे-दर्द कितने बोले हाँ उस को क्या हुआ था
कहने लगा कि जाने मेरी बला अज़ीज़ाँ
अहवाल था किसी का कुछ मैं भी सुन लिया था
आँखें मिरी खुलीं जब जी 'मीर' का गया तब
देखे से उस को वर्ना मेरा भी जी जला था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Gaon Shayari Shayari