betaabiyon mein tang ham aaye hain jaan se
waqt-e-shekeb khush ki gaya darmiyaan se
daag-e-firaq-o-hasrat-e-wasl-o-khyaal-e-rukh-e-dost aarzoo-e-deed
kya kya liye gaye tire aashiq jahaan se
ham khaamoshoon ka zikr tha shab us ki bazm mein
nikla na harf-e-khair kasoo ki zabaan se
aab-e-khizr se bhi na gai sozish-e-jigar
kya jaaniye ye aag hai kis birhamanon se
juz ishq jung-e-dehr se mat padh ki khush hain ham
us qisse ki kitaab mein us daastaan se
aane ka is chaman mein sabab bekli hui
jun barq ham tadap ke gire aashiyaan se
ab chhed ye rakhi hai ki aashiq hai to kahein
al-qissaa khush guzarti hai us bad-gumaan se
keene ki mere tujh se na chahega koi daad
main kah maroonga apne har ik mehrbaan se
daaghoon se hai chaman jigar-e-'meer dehr mein
un ne bhi gul chune bahut us gulistaan se
बेताबियों में तंग हम आए हैं जान से
वक़्त-ए-शकेब ख़ुश कि गया दरमियान से
दाग़-ए-फ़िराक़-ओ-हसरत-ए-वस्ल आरज़ू-ए-दीद
क्या क्या लिए गए तिरे आशिक़ जहान से
हम ख़ामुशों का ज़िक्र था शब उस की बज़्म में
निकला न हर्फ़-ए-ख़ैर कसू की ज़बान से
आब-ए-ख़िज़र से भी न गई सोज़िश-ए-जिगर
क्या जानिए ये आग है किस दूदमान से
जुज़ इश्क़ जंग-ए-दहर से मत पढ़ कि ख़ुश हैं हम
उस क़िस्से की किताब में उस दास्तान से
आने का इस चमन में सबब बेकली हुई
जूँ बर्क़ हम तड़प के गिरे आशियान से
अब छेड़ ये रखी है कि आशिक़ है तो कहें
अल-क़िस्सा ख़ुश गुज़रती है उस बद-गुमान से
कीने की मेरे तुझ से न चाहेगा कोई दाद
मैं कह मरूँगा अपने हर इक मेहरबान से
दाग़ों से है चमन जिगर-ए-'मीर' दहर में
उन ने भी गुल चुने बहुत उस गुलिस्तान से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Aag Shayari Shayari