mar mar gaye nazar kar us ke barhana tan mein | मर मर गए नज़र कर उस के बरहना तन में

  - Meer Taqi Meer

mar mar gaye nazar kar us ke barhana tan mein
kapde utaare un ne sar kheeche ham kafan mein

gul phool se kab us bin lagti hain apni aankhen
laai bahaar ham ko zor-aavari chaman mein

ab laal-e-nau-khat us ke kam bakhshte hain farhat
quwwat kahaan rahe hai yaqooti-e-kuhan mein

yusuf aziz-e-dila ja misr mein hua tha
paakizaa gauharon ki izzat nahin watan mein

dair o haram se tu to tuk garm-e-naz nikla
hangaama ho raha hai ab shaikh o brahman mein

aa jaate shehar mein tu jaise ki aandhi aayi
kya vahshatein kiya hain ham ne divaanpan mein

hain ghaav dil par apne tegh-e-zabaan se sab ki
tab dard hai hamaare ai meer har sukhun mein

मर मर गए नज़र कर उस के बरहना तन में
कपड़े उतारे उन ने सर खींचे हम कफ़न में

गुल फूल से कब उस बिन लगती हैं अपनी आँखें
लाई बहार हम को ज़ोर-आवरी चमन में

अब लाल-ए-नौ-ख़त उस के कम बख़्शते हैं फ़रहत
क़ुव्वत कहाँ रहे है याक़ूती-ए-कुहन में

यूसुफ़ अज़ीज़-ए-दिला जा मिस्र में हुआ था
पाकीज़ा गौहरों की इज़्ज़त नहीं वतन में

दैर ओ हरम से तू तो टुक गर्म-ए-नाज़ निकला
हंगामा हो रहा है अब शैख़ ओ बरहमन में

आ जाते शहर में तू जैसे कि आँधी आई
क्या वहशतें किया हैं हम ने दिवानपन में

हैं घाव दिल पर अपने तेग़-ए-ज़बाँ से सब की
तब दर्द है हमारे ऐ 'मीर' हर सुख़न में

  - Meer Taqi Meer

Haya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Haya Shayari Shayari