kharaabi kuch na poocho mulakat-e-dil ki imarat ki | ख़राबी कुछ न पूछो मुलकत-ए-दिल की इमारत की - Meer Taqi Meer

kharaabi kuch na poocho mulakat-e-dil ki imarat ki
ghamon ne aaj-kal suniyo vo aabaadi hi gharaat ki

nigah-e-mast se jab chashm ne is ki ishaarat ki
halaavat may ki aur buniyaad maykhaane ki gharaat ki

sahar-gah main ne poocha gul se haal-e-zaar bulbul ka
pade the baagh mein yak-musht par udhar ishaarat ki

jalaya jis tajallii-e-jalwa-gar ne toor ko ham-dam
usi aatish ke par kaale ne hum se bhi sharaarat ki

nazaakat kya kahoon khursheed-roo ki kal shab-e-mah mein
gaya tha saaye saaye baagh tak tis par hararat ki

nazar se jis ki yusuf sa gaya phir us ko kya sujhe
haqeeqat kuch na poocho peer-e-kan'aan ki basaarat ki

tire kooche ke shauq-e-tauf mein jaise bagoola tha
biyaabaan main ghubaar meer ki hum ne ziyaarat ki

ख़राबी कुछ न पूछो मुलकत-ए-दिल की इमारत की
ग़मों ने आज-कल सुनियो वो आबादी ही ग़ारत की

निगाह-ए-मस्त से जब चश्म ने इस की इशारत की
हलावत मय की और बुनियाद मयख़ाने की ग़ारत की

सहर-गह मैं ने पूछा गुल से हाल-ए-ज़ार बुलबुल का
पड़े थे बाग़ में यक-मुशत पर ऊधर इशारत की

जलाया जिस तजल्ली-ए-जल्वा-गर ने तूर को हम-दम
उसी आतिश के पर काले ने हम से भी शरारत की

नज़ाकत क्या कहूँ ख़ुर्शीद-रू की कल शब-ए-मह में
गया था साए साए बाग़ तक तिस पर हरारत की

नज़र से जिस की यूसुफ़ सा गया फिर उस को क्या सूझे
हक़ीक़त कुछ न पूछो पीर-ए-कनआँ' की बसारत की

तिरे कूचे के शौक़-ए-तौफ़ में जैसे बगूला था
बयाबाँ मैं ग़ुबार 'मीर' की हम ने ज़ियारत की

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Aag Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Aag Shayari Shayari