taab-e-dil sarf-e-judaai ho chuki | ताब-ए-दिल सर्फ़-ए-जुदाई हो चुकी

  - Meer Taqi Meer

taab-e-dil sarf-e-judaai ho chuki
ya'ni taqat aazmaai ho chuki

chhoota kab hai aseer-e-khush-zabaan
jeete jee apni rihaai ho chuki

aage ho masjid ke nikli us ki raah
shaikh se ab paarsaai ho chuki

darmiyaan aisa nahin ab aaina
mere us ke ab safaai ho chuki

ek bosa maangte ladne lage
itne hi mein aashnaai ho chuki

beech mein ham hi na hon to lutf kya
rehm kar ab bewafaai ho chuki

aaj phir tha be-hamiyat meer waan
kal ladai si ladai ho chuki

ताब-ए-दिल सर्फ़-ए-जुदाई हो चुकी
या'नी ताक़त आज़माई हो चुकी

छूटता कब है असीर-ए-ख़ुश-ज़बाँ
जीते जी अपनी रिहाई हो चुकी

आगे हो मस्जिद के निकली उस की राह
शैख़ से अब पारसाई हो चुकी

दरमियाँ ऐसा नहीं अब आईना
मेरे उस के अब सफ़ाई हो चुकी

एक बोसा माँगते लड़ने लगे
इतने ही में आश्नाई हो चुकी

बीच में हम ही न हों तो लुत्फ़ क्या
रहम कर अब बेवफ़ाई हो चुकी

आज फिर था बे-हमीयत 'मीर' वाँ
कल लड़ाई सी लड़ाई हो चुकी

  - Meer Taqi Meer

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari