sher ke parde mein main ne gham sunaaya hai bahut
marsiye ne dil ke mere bhi rulaaya hai bahut
be-sabab aata nahin ab dam-b-dam aashiq ko ghash
dard kheecha hai nihaayat ranj uthaya hai bahut
waadi o kohsaar mein rota hoon daadhe maar maar
dilbaraan-e-shahar ne mujh ko sataaya hai bahut
vaa nahin hota kisoo se dil giriftaa ishq ka
zaahiran gamgeen use rahna khush aaya hai bahut
meer gum-gashta ka milna ittifaqi amr hai
jab kabhu paaya hai khwaahish-mand paaya hai bahut
शेर के पर्दे में मैं ने ग़म सुनाया है बहुत
मरसिए ने दिल के मेरे भी रुलाया है बहुत
बे-सबब आता नहीं अब दम-ब-दम आशिक़ को ग़श
दर्द खींचा है निहायत रंज उठाया है बहुत
वादी ओ कोहसार में रोता हूँ ड़ाढें मार मार
दिलबरान-ए-शहर ने मुझ को सताया है बहुत
वा नहीं होता किसू से दिल गिरफ़्ता इश्क़ का
ज़ाहिरन ग़मगीं उसे रहना ख़ुश आया है बहुत
'मीर' गुम-गश्ता का मिलना इत्तिफ़ाक़ी अम्र है
जब कभू पाया है ख़्वाहिश-मंद पाया है बहुत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Valentine Shayari Shayari