kab se nazar lagi thi darwaaza-e-haram se | कब से नज़र लगी थी दरवाज़ा-ए-हरम से

  - Meer Taqi Meer

kab se nazar lagi thi darwaaza-e-haram se
parda utha to ladiyaan aankhen hamaari ham se

soorat-gar-e-ajal ka kya haath tha kahe to
kheenchi vo tegh-e-abroo faulaad ke qalam se

sozish gai na dil ki rone se roz-o-shab ke
jalta hoon aur dariya bahte hain chashm-e-nam se

taa'at ka waqt guzra masti mein aab raz ki
ab chashm-daasht us ke yaa hai faqat karam se

kudhie na roiyie to auqaat kyoonke guzre
rehta hai mashghala sa baar-e-gham-o-alam se

mashhoor hai samaajat meri ki teg barsi
par main na sar uthaya hargiz tire qadam se

baat ehtiyaat se kar zaayein na kar nafs ko
baaleedagi-e-dil hai maanind-e-sheesha dam se

kya kya taab uthaaye kya kya azaab dekhe
tab dil hua hai utna khugar tire sitam se

hasti mein ham ne aa kar aasoodagi na dekhi
khultin na kaash aankhen khwaab khush adam se

paamaal kar ke ham ko pachtayoge bahut tum
kamyab hain jahaan mein sar dene waale ham se

dil do ho meer sahab us bad-ma'ash ko tum
khaatir to jam'a kar lo tak qaul se qasam se

कब से नज़र लगी थी दरवाज़ा-ए-हरम से
पर्दा उठा तो लड़ियाँ आँखें हमारी हम से

सूरत-गर-ए-अजल का क्या हाथ था कहे तो
खींची वो तेग़-ए-अबरू फ़ौलाद के क़लम से

सोज़िश गई न दिल की रोने से रोज़-ओ-शब के
जलता हूँ और दरिया बहते हैं चश्म-ए-नम से

ताअ'त का वक़्त गुज़रा मस्ती में आब रज़ की
अब चश्म-दाश्त उस के याँ है फ़क़त करम से

कुढि़ए न रोइए तो औक़ात क्यूँके गुज़रे
रहता है मश्ग़ला सा बार-ए-ग़म-ओ-अलम से

मशहूर है समाजत मेरी कि तेग़ बरसी
पर मैं न सर उठाया हरगिज़ तिरे क़दम से

बात एहतियात से कर ज़ाएअ' न कर नफ़स को
बालीदगी-ए-दिल है मानिंद-ए-शीशा दम से

क्या क्या तअब उठाए क्या क्या अज़ाब देखे
तब दिल हुआ है उतना ख़ूगर तिरे सितम से

हस्ती में हम ने आ कर आसूदगी न देखी
खुलतीं न काश आँखें ख़्वाब ख़ुश अदम से

पामाल कर के हम को पछताओगे बहुत तुम
कमयाब हैं जहाँ में सर देने वाले हम से

दिल दो हो 'मीर' साहब उस बद-मआ'श को तुम
ख़ातिर तो जम्अ' कर लो टक क़ौल से क़सम से

  - Meer Taqi Meer

Zakhm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Zakhm Shayari Shayari