dekh to dil ki jaan se uthata hai | देख तो दिल कि जां से उठता है

  - Meer Taqi Meer

dekh to dil ki jaan se uthata hai
ye dhuaan sa kahaan se uthata hai

gor kis diljale ki hai ye falak
shola ik subh yaan se uthata hai

khaana-e-dil se zeenhaar na ja
koi aise makaan se uthata hai

naala sar kheenchta hai jab mera
shor ik aasmaan se uthata hai

ladti hai us ki chashm-e-shokh jahaan
ek aashob waan se uthata hai

sudh le ghar ki bhi shola-e-aawaaz
dood kuchh aashiyaan se uthata hai

baithne kaun de hai phir us ko
jo tire aastaan se uthata hai

yoon uthe aah us gali se ham
jaise koi jahaan se uthata hai

ishq ik meer bhari patthar hai
kab ye tujh naatwan se uthata hai

देख तो दिल कि जां से उठता है
ये धुआं सा कहां से उठता है

गोर किस दिलजले की है ये फ़लक
शोला इक सुब्ह यां से उठता है

ख़ाना-ए-दिल से ज़ीनहार न जा
कोई ऐसे मकां से उठता है

नाला सर खींचता है जब मेरा
शोर इक आसमां से उठता है

लड़ती है उस की चश्म-ए-शोख़ जहां
एक आशोब वां से उठता है

सुध ले घर की भी शोला-ए-आवाज़
दूद कुछ आशियां से उठता है

बैठने कौन दे है फिर उस को
जो तिरे आस्तां से उठता है

यूं उठे आह उस गली से हम
जैसे कोई जहां से उठता है

इश्क़ इक 'मीर' भारी पत्थर है
कब ये तुझ नातवां से उठता है

  - Meer Taqi Meer

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari