jis sar ko ghuroor aaj hai yaa taaj-wari ka
kal us pe yahin shor hai phir nauhagaari ka
sharminda tire rukh se hai rukhsaar pari ka
chalta nahin kuchh aage tire kabk-e-dari ka
aafaq ki manzil se gaya kaun salaamat
asbaab luta raah mein yaa har safari ka
zindaan mein bhi shorish na gai apne junoon ki
ab sang mudaava hai is aashuftaa-sari ka
har zakham-e-jigar daavar-e-mahshar se hamaara
insaaf-talab hai tiri bedaad-gari ka
apni to jahaan aankh ladi phir wahin dekho
aaine ko lapka hai pareshaan-nazri ka
sad mausam-e-gul ham ko tah-e-baal hi guzre
maqdoor na dekha kabhu be-baal-o-paree ka
is rang se jhamke hai palak par ki kahe tu
tukda hai mera ashk aqeeq-e-jigri ka
kal sair kiya ham ne samundar ko bhi ja kar
tha dast-e-nigar panja-e-mizgaan ki tari ka
le saans bhi aahista ki naazuk hai bahut kaam
aafaq ki is kaargah-e-sheeshaagari ka
tuk meer'-e-jigar-sokhta ki jald khabar le
kya yaar bharosa hai charagh-e-sehri ka
जिस सर को ग़ुरूर आज है याँ ताज-वरी का
कल उस पे यहीं शोर है फिर नौहागरी का
शर्मिंदा तिरे रुख़ से है रुख़्सार परी का
चलता नहीं कुछ आगे तिरे कब्क-ए-दरी का
आफ़ाक़ की मंज़िल से गया कौन सलामत
अस्बाब लुटा राह में याँ हर सफ़री का
ज़िंदाँ में भी शोरिश न गई अपने जुनूँ की
अब संग मुदावा है इस आशुफ़्ता-सरी का
हर ज़ख़्म-ए-जिगर दावर-ए-महशर से हमारा
इंसाफ़-तलब है तिरी बेदाद-गरी का
अपनी तो जहाँ आँख लड़ी फिर वहीं देखो
आईने को लपका है परेशाँ-नज़री का
सद मौसम-ए-गुल हम को तह-ए-बाल ही गुज़रे
मक़्दूर न देखा कभू बे-बाल-ओ-परी का
इस रंग से झमके है पलक पर कि कहे तू
टुकड़ा है मिरा अश्क अक़ीक़-ए-जिगरी का
कल सैर किया हम ने समुंदर को भी जा कर
था दस्त-ए-निगर पंजा-ए-मिज़्गाँ की तरी का
ले साँस भी आहिस्ता कि नाज़ुक है बहुत काम
आफ़ाक़ की इस कारगह-ए-शीशागरी का
टुक 'मीर'-ए-जिगर-सोख़्ता की जल्द ख़बर ले
क्या यार भरोसा है चराग़-ए-सहरी का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Samundar Shayari Shayari