na kisi se paas mere yaar ka aana gaya | ना किसी से पास मेरे यार का आना गया

  - Meer Taqi Meer

na kisi se paas mere yaar ka aana gaya
bas gaya main jaan se ab us se ye jaana gaya

kuchh na dekha phir b-juz yak shola-e-pur-pech-o-taab
sham'a tak to ham ne dekha tha ki parwaana gaya

ek hi chashmak thi furqat sohbat-e-ahbaab ki
deeda-e-tar saath le majlis se paimaana gaya

gul khile sad rang to kya be-paree se ae naseem
muddatein guzriin ki vo gulzaar ka jaana gaya

door tujh se meer ne aisa taab kheecha ki shokh
kal jo main dekha use mutlaq na pahchaana gaya

ना किसी से पास मेरे यार का आना गया
बस गया मैं जान से अब उस से ये जाना गया

कुछ न देखा फिर ब-जुज़ यक शोला-ए-पुर-पेच-ओ-ताब
शम्अ' तक तो हम ने देखा था कि परवाना गया

एक ही चश्मक थी फ़ुर्सत सोहबत-ए-अहबाब की
दीदा-ए-तर साथ ले मज्लिस से पैमाना गया

गुल खिले सद रंग तो क्या बे-परी से ए नसीम
मुद्दतें गुज़रीं कि वो गुलज़ार का जाना गया

दूर तुझ से 'मीर' ने ऐसा तअब खींचा कि शोख़
कल जो मैं देखा उसे मुतलक़ न पहचाना गया

  - Meer Taqi Meer

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari