aavegi meri qabr se awaaz mere ba'ad | आवेगी मेरी क़ब्र से आवाज़ मेरे बा'द

  - Meer Taqi Meer

aavegi meri qabr se awaaz mere ba'ad
ubharenge ishq-e-dil se tire raaz mere ba'ad

jeena mera to tujh ko ghaneemat hai na-samajh
kheenchega kaun phir ye tire naaz mere ba'ad

sham-e-mazaar aur ye soz-e-jigar mera
har shab karenge zindagi na-saaz mere ba'ad

hasrat hai is ke dekhne ki dil mein be-qayaas
aghlab ki meri aankhen rahein baaz mere ba'ad

karta hoon main jo naale sar-anjaam baagh mein
munh dekho phir karenge ham awaaz mere ba'ad

bin gul mua hi main to p tu ja ke lautio
sehan-e-chaman mein ai par-e-parvaaz mere ba'ad

baitha hoon meer marne ko apne mein mustaid
paida na honge mujh se bhi jaanbaaz mere ba'ad

आवेगी मेरी क़ब्र से आवाज़ मेरे बा'द
उभरेंगे इश्क़-ए-दिल से तिरे राज़ मेरे बा'द

जीना मिरा तो तुझ को ग़नीमत है ना-समझ
खींचेगा कौन फिर ये तिरे नाज़ मेरे बा'द

शम-ए-मज़ार और ये सोज़-ए-जिगर मिरा
हर शब करेंगे ज़िंदगी ना-साज़ मेरे बा'द

हसरत है इस के देखने की दिल में बे-क़यास
अग़्लब कि मेरी आँखें रहें बाज़ मेरे बा'द

करता हूँ मैं जो नाले सर-अंजाम बाग़ में
मुँह देखो फिर करेंगे हम आवाज़ मेरे बा'द

बिन गुल मुआ ही मैं तो प तू जा के लौटियो
सेहन-ए-चमन में ऐ पर-ए-पर्वाज़ मेरे बा'द

बैठा हूँ 'मीर' मरने को अपने में मुस्तइद
पैदा न होंगे मुझ से भी जाँबाज़ मेरे बा'द

  - Meer Taqi Meer

Adaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Adaa Shayari Shayari