khoob the ve din ki ham tere giriftaaron mein the
gham-zadon andoh-geenon zulm ke maaron mein the
dushmani jaani hai ab to ham se ghairoon ke liye
ik samaan sa ho gaya vo bhi ki ham yaaron mein the
mat tabkhtur se guzar qumri hamaari khaak par
ham bhi ik sarv-e-ravaan ke naz-bardaaron mein the
mar gaye lekin na dekha tu ne udhar aankh utha
aah kya kya log zalim tere beemaaron mein the
shaikh-ji mindil kuchh bigdi si hai kya aap bhi
rindon baankon may-kashon aashufta dastaaron mein the
garche jurm-e-ishq ghairoon par bhi saabit tha wale
qatl karna tha hamein ham hi gunehgaaro mein the
ik raha mizgaan ki saf mein ek ke tukde hue
dil jigar jo meer dono apne gham-khwaron mein the
ख़ूब थे वे दिन कि हम तेरे गिरफ़्तारों में थे
ग़म-ज़दों अंदोह-गीनों ज़ुल्म के मारों में थे
दुश्मनी जानी है अब तो हम से ग़ैरों के लिए
इक समाँ सा हो गया वो भी कि हम यारों में थे
मत तबख़्तुर से गुज़र क़ुमरी हमारी ख़ाक पर
हम भी इक सर्व-ए-रवाँ के नाज़-बरदारों में थे
मर गए लेकिन न देखा तू ने ऊधर आँख उठा
आह क्या क्या लोग ज़ालिम तेरे बीमारों में थे
शैख़-जी मिंदील कुछ बिगड़ी सी है क्या आप भी
रिंदों बाँकों मय-कशों आशुफ़्ता दस्तारों में थे
गरचे जुर्म-ए-इश्क़ ग़ैरों पर भी साबित था वले
क़त्ल करना था हमें हम ही गुनहगारों में थे
इक रहा मिज़्गाँ की सफ़ में एक के टुकड़े हुए
दिल जिगर जो 'मीर' दोनों अपने ग़म-ख़्वारों में थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Dushmani Shayari Shayari