rehta hai haddiyon se meri jo huma laga | रहता है हड्डियों से मिरी जो हुमा लगा

  - Meer Taqi Meer

rehta hai haddiyon se meri jo huma laga
kuchh dard-e-aashiqi ka use bhi maza laga

ghaafil na soz-e-ishq se rah phir kebab hai
gar laayeha us aag ka tak dil ko ja laga

dekha hamein jahaan vo tahaan aag ho gaya
bharka rakha hai logon ne is ko laga laga

mohlat tanik bhi ho to sukhun kuchh asar kare
main uth gaya ki gair tire kaanon aa laga

ab aab-e-chashm hi hai hamaara muheet-e-khalq
dariya ko ham ne kab ka kinaare rakha laga

har-chand us ki tegh-e-sitam thi buland lek
vo taur bad hamein to qayamat bhala laga

majlis mein us ki baar na mujh ko mili kabhu
darwaaze hi se garche bahut main raha laga

bosa labon ka maangte hi munh bigad gaya
kya itni meri baat ka tum ko bura laga

aalam ki sair meer ki sohbat mein ho gai
taalea se mere haath ye be-dast-o-pa laga

रहता है हड्डियों से मिरी जो हुमा लगा
कुछ दर्द-ए-आशिक़ी का उसे भी मज़ा लगा

ग़ाफ़िल न सोज़-ए-इश्क़ से रह फिर कबाब है
गर लाएहा उस आग का टक दिल को जा लगा

देखा हमें जहाँ वो तहाँ आग हो गया
भड़का रखा है लोगों ने इस को लगा लगा

मोहलत तनिक भी हो तो सुख़न कुछ असर करे
मैं उठ गया कि ग़ैर तिरे कानों आ लगा

अब आब-ए-चश्म ही है हमारा मुहीत-ए-ख़ल्क़
दरिया को हम ने कब का किनारे रखा लगा

हर-चंद उस की तेग़-ए-सितम थी बुलंद लेक
वो तौर बद हमें तो क़यामत भला लगा

मज्लिस में उस की बार न मुझ को मिली कभू
दरवाज़े ही से गरचे बहुत मैं रहा लगा

बोसा लबों का माँगते ही मुँह बिगड़ गया
क्या इतनी मेरी बात का तुम को बुरा लगा

आलम की सैर 'मीर' की सोहबत में हो गई
तालेअ' से मेरे हाथ ये बे-दस्त-ओ-पा लगा

  - Meer Taqi Meer

Lab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Lab Shayari Shayari