yun hi hairaan-o-khafa jon ghuncha-e-tasveer hon | यूँ ही हैरान-ओ-ख़फ़ा जों ग़ुंचा-ए-तस्वीर हों

  - Meer Taqi Meer

yun hi hairaan-o-khafa jon ghuncha-e-tasveer hon
umr guzri par na jaana main ki kyun dil-geer hon

itni baatein mat bana mujh shefate se naaseha
pand ke laayeq nahin main qaabil-e-zanjeer hon

surkh rahti hain meri aankhen lahu rone se shaikh
may agar saabit ho mujh par waajib al-taazeer hoon

ne falak par raah mujh ko ne zameen par rau mujhe
aise kis mahroom ka mein shor-e-be-taaseer hoon

jon kamaan garche khameeda hoon pe chhoota aur wahin
us ke kooche ki taraf chalne ko yaaro teer hoon

jo mere hisse mein aave tegh-e-jamadhar sail-o-kaard
ye fuzooli hai ki main hi kushta-e-shamsheer hoon

khol kar deewaan mera dekh qudrat muddai
garche hoon main naujavaan par sha'iron ka peer hoon

yun saadat ek jamdhar mujh ko bhi guzaariye
munsifi kijeye to main to mahaj be-taqseer hoon

is qadar be-nang khabton ko naseehat shaikh-ji
baaz aao warna apne naam ko main meer hoon

यूँ ही हैरान-ओ-ख़फ़ा जों ग़ुंचा-ए-तस्वीर हों
उम्र गुज़री पर न जाना मैं कि क्यूँ दिल-गीर हों

इतनी बातें मत बना मुझ शेफ़ते से नासेहा
पंद के लाएक़ नहीं मैं क़ाबिल-ए-ज़ंजीर हों

सुर्ख़ रहती हैं मिरी आँखें लहू रोने से शैख़
मय अगर साबित हो मुझ पर वाजिब अल-ताज़ीर हूँ

ने फ़लक पर राह मुझ को ने ज़मीं पर रौ मुझे
ऐसे किस महरूम का में शोर-ए-बे-तासीर हूँ

जों कमाँ गरचे ख़मीदा हूँ पे छूटा और वहीं
उस के कूचे की तरफ़ चलने को यारो तीर हूँ

जो मिरे हिस्से में आवे तेग़-ए-जमधर सैल-ओ-कार्द
ये फ़ुज़ूली है कि मैं ही कुश्ता-ए-शमशीर हूँ

खोल कर दीवान मेरा देख क़ुदरत मुद्दई'
गरचे हूँ मैं नौजवाँ पर शाइ'रों का पीर हूँ

यूँ सआ'दत एक जमधर मुझ को भी गुज़ारिए
मुंसिफ़ी कीजे तो मैं तो महज़ बे-तक़सीर हूँ

इस क़दर बे-नंग ख़बतों को नसीहत शैख़-जी
बाज़ आओ वर्ना अपने नाम को मैं 'मीर' हूँ

  - Meer Taqi Meer

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari