sukhun mushtaaq hai aalam hamaara | सुख़न मुश्ताक़ है आलम हमारा - Meer Taqi Meer

sukhun mushtaaq hai aalam hamaara
bahut aalam karega gham hamaara

padhenge sher ro ro log baithe
rahega der tak maatam hamaara

nahin hai marja-e-aadam agar khaak
kidhar jaata hai qadd-e-kham hamaara

zameen o aasmaan zer-o-zabar hai
nahin kam hashr se uddham hamaara

kisoo ke baal darham dekhte meer
hua hai kaam-e-dil barham hamaara

सुख़न मुश्ताक़ है आलम हमारा
बहुत आलम करेगा ग़म हमारा

पढ़ेंगे शेर रो रो लोग बैठे
रहेगा देर तक मातम हमारा

नहीं है मर्जा-ए-आदम अगर ख़ाक
किधर जाता है क़द्द-ए-ख़म हमारा

ज़मीन ओ आसमाँ ज़ेर-ओ-ज़बर है
नहीं कम हश्र से ऊधम हमारा

किसू के बाल दरहम देखते 'मीर'
हुआ है काम-ए-दिल बरहम हमारा

- Meer Taqi Meer
1 Like

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari