kal chaman mein gul-o-saman dekha | कल चमन में गुल-ओ-समन देखा

  - Meer Taqi Meer

kal chaman mein gul-o-saman dekha
aaj dekha to baagh ban dekha

kya hai gulshan mein jo qafas mein nahin
aashiqon ka jila-watan dekha

zauq paikaan-e-teer mein tere
muddaton tak jigar ne chin dekha

ghar ke ghar jalte the pade tere
daag-e-dil dekhe bas chaman dekha

ek chashmak-e-do-sad sinaan-e-miza
is nukeele ka baankpan dekha

shukr zaahid ka apni aankhon mein
may-ivaz khirqa-e-martuhin dekha

hasrat us ki jagah thi khwaabida
meer ka khol kar kafan dekha

कल चमन में गुल-ओ-समन देखा
आज देखा तो बाग़ बन देखा

क्या है गुलशन में जो क़फ़स में नहीं
आशिक़ों का जिला-वतन देखा

ज़ौक़ पैकान-ए-तीर में तेरे
मुद्दतों तक जिगर ने छिन देखा

घर के घर जलते थे पड़े तेरे
दाग़-ए-दिल देखे बस चमन देखा

एक चश्मक-ए-दो-सद सिनान-ए-मिज़ा
इस नुकीले का बाँकपन देखा

शुक्र ज़ाहिद का अपनी आँखों में
मय-इवज़ ख़िरक़ा-ए-मरतुहिन देखा

हसरत उस की जगह थी ख़्वाबीदा
'मीर' का खोल कर कफ़न देखा

  - Meer Taqi Meer

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari