jab se khat hai siyaah-khaal ki thaang | जब से ख़त है सियाह-ख़ाल की थांग

  - Meer Taqi Meer

jab se khat hai siyaah-khaal ki thaang
tab se lutti hai hind chaaron daang

baat amal ki chali hi jaati hai
hai magar ouj-bin-unuq ki taang

ban jo kuchh ban sake jawaani mein
raat to thodi hai bahut hai saang

ishq ka shor koi chhupta hai
naala-e-andleeb hai gul-baang

us zaqan mein bhi sabzi hai khat ki
dekho jiidhar kuein padi hai bhaang

kis tarah un se koi garm mile
seem-tan pighle jaate hain jon raang

chali jaati hai hasab qadr-e-buland
door tak us pahaad ki hai daang

tafra baatil tha toor par apne
warna jaate ye daud ham bhi phalaang

main ne kya us ghazal ko sahal kiya
qaafiye hi the us ke oot-pataang

meer bandon se kaam kab nikla
maangna hai jo kuchh khuda se maang

जब से ख़त है सियाह-ख़ाल की थांग
तब से लुटती है हिन्द चारों दाँग

बात अमल की चली ही जाती है
है मगर औज-बिन-उनुक़ की टाँग

बन जो कुछ बन सके जवानी में
रात तो थोड़ी है बहुत है साँग

इश्क़ का शोर कोई छुपता है
नाला-ए-अंदलीब है गुल-बाँग

उस ज़क़न में भी सब्ज़ी है ख़त की
देखो जीधर कुएँ पड़ी है भाँग

किस तरह उन से कोई गर्म मिले
सीम-तन पिघले जाते हैं जों राँग

चली जाती है हसब क़द्र-ए-बुलंद
दूर तक उस पहाड़ की है डाँग

तफ़रा बातिल था तूर पर अपने
वर्ना जाते ये दौड़ हम भी फलाँग

मैं ने क्या उस ग़ज़ल को सहल किया
क़ाफ़िए ही थे उस के ऊट-पटाँग

'मीर' बंदों से काम कब निकला
माँगना है जो कुछ ख़ुदा से माँग

  - Meer Taqi Meer

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari