ishq mein zillat hui khiffat hui tohmat hui | इश्क़ में ज़िल्लत हुई ख़िफ़्फ़त हुई तोहमत हुई

  - Meer Taqi Meer

ishq mein zillat hui khiffat hui tohmat hui
aakhir aakhir jaan di yaaron ne ye sohbat hui

aks us be-deed ka to muttasil padta tha subh
din chadhe kya jaanoon aaine ki kya soorat hui

lauh-e-seena par meri sau neza-e-khatti lage
khastagi is dil-shikasta ki isee baabat hui

khholte hi aankhen phir yaa moondani ham ko padeen
deed kya koi kare vo kis qadar mohlat hui

paanv mera kalba-e-ahzaan mein ab rehta nahin
rafta rafta us taraf jaane ki mujh ko lat hui

mar gaya aawaara ho kar main to jaise gard-baad
par jise ye waqia pahuncha use vehshat hui

shaad o khush-taale koi hoga kisoo ko chaah kar
main to kulfat mein raha jab se mujhe ulfat hui

dil ka jaana aaj kal taaza hua ho to kahoon
guzre us bhi saanehe ko hum-nasheen muddat hui

shaauq-e-dil ham na-tawanoon ka likha jaata hai kab
ab talak aap hi pahunchne ki agar taqat hui

kya kaf-e-dast ek maidaan tha biyaabaan ishq ka
jaan se jab us mein guzre tab hamein raahat hui

yun to ham aziz-tareen-e-khalk-e-aalam hain wale
dekhiyo qudrat khuda ki gar hamein qudrat hui

gosh zad chatpat hi marna ishq mein apne hua
kis ko is bimaari-e-jaan-kaah se furqat hui

be-zabaan jo kahte hain mujh ko so chup rah jaayenge
maarkhe mein hashr ke gar baat ki ruksat hui

ham na kahte the ki naqsh us ka nahin naqqaash sahal
chaand saara lag gaya tab neem-rukh soorat hui

is ghazal par shaam se to sufiyon ko vajd tha
phir nahin maaloom kuchh majlis ki kya haalat hui

kam kisoo ko meer ki mayyat ki haath aayi namaaz
na'sh par us be-sar-o-pa ki bala kasrat hui

इश्क़ में ज़िल्लत हुई ख़िफ़्फ़त हुई तोहमत हुई
आख़िर आख़िर जान दी यारों ने ये सोहबत हुई

अक्स उस बे-दीद का तो मुत्तसिल पड़ता था सुब्ह
दिन चढ़े क्या जानूँ आईने की क्या सूरत हुई

लौह-ए-सीना पर मिरी सौ नेज़ा-ए-ख़त्ती लगे
ख़स्तगी इस दिल-शिकस्ता की इसी बाबत हुई

खोलते ही आँखें फिर याँ मूँदनी हम को पड़ीं
दीद क्या कोई करे वो किस क़दर मोहलत हुई

पाँव मेरा कल्बा-ए-अहज़ाँ में अब रहता नहीं
रफ़्ता रफ़्ता उस तरफ़ जाने की मुझ को लत हुई

मर गया आवारा हो कर मैं तो जैसे गर्द-बाद
पर जिसे ये वाक़िआ पहुँचा उसे वहशत हुई

शाद ओ ख़ुश-ताले कोई होगा किसू को चाह कर
मैं तो कुल्फ़त में रहा जब से मुझे उल्फ़त हुई

दिल का जाना आज कल ताज़ा हुआ हो तो कहूँ
गुज़रे उस भी सानेहे को हम-नशीं मुद्दत हुई

शौक़-ए-दिल हम ना-तवानों का लिखा जाता है कब
अब तलक आप ही पहुँचने की अगर ताक़त हुई

क्या कफ़-ए-दस्त एक मैदाँ था बयाबाँ इश्क़ का
जान से जब उस में गुज़रे तब हमें राहत हुई

यूँ तो हम आजिज़-तरीन-ए-ख़ल्क़-ए-आलम हैं वले
देखियो क़ुदरत ख़ुदा की गर हमें क़ुदरत हुई

गोश ज़द चट-पट ही मरना इश्क़ में अपने हुआ
किस को इस बीमारी-ए-जाँ-काह से फ़ुर्सत हुई

बे-ज़बाँ जो कहते हैं मुझ को सो चुप रह जाएँगे
मारके में हश्र के गर बात की रुख़्सत हुई

हम न कहते थे कि नक़्श उस का नहीं नक़्क़ाश सहल
चाँद सारा लग गया तब नीम-रुख़ सूरत हुई

इस ग़ज़ल पर शाम से तो सूफ़ियों को वज्द था
फिर नहीं मालूम कुछ मज्लिस की क्या हालत हुई

कम किसू को 'मीर' की मय्यत की हाथ आई नमाज़
ना'श पर उस बे-सर-ओ-पा की बला कसरत हुई

  - Meer Taqi Meer

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari