khush na aayi tumhaari chaal hamein | ख़ुश न आई तुम्हारी चाल हमें

  - Meer Taqi Meer

khush na aayi tumhaari chaal hamein
yun na karna tha paayemaal hamein

haal kya pooch pooch jaate ho
kabhu paate bhi ho bahaal hamein

vo dahaan vo kamar hi hai maqsood
aur kuchh ab nahin khayal hamein

is mah-e-chaardah ki doori ne
das hi din mein kiya hilaal hamein

nazar aate hain hote jee ke vabaal
halka halka tumhaare baal hamein

tangi is ja ki naql kiya kariye
yaa se waajib hai intiqaal hamein

sirf lillaah kham ke kham karte
na kya charkh ne kalaal hamein

mugh-bache maal mast ham darvesh
kaun karta hai musht-maal hamein

kab tak us tangna mein kheenchiye ranj
yaa se yaarab tu hi nikaal hamein

tark sabzaan-e-shehar kariye ab
bas bahut kar chuke nihaal hamein

wajh kiya hai ki meer munh pe tire
nazar aata hai kuchh malaal hamein

ख़ुश न आई तुम्हारी चाल हमें
यूँ न करना था पाएमाल हमें

हाल क्या पूछ पूछ जाते हो
कभू पाते भी हो बहाल हमें

वो दहाँ वो कमर ही है मक़्सूद
और कुछ अब नहीं ख़याल हमें

इस मह-ए-चारदह की दूरी ने
दस ही दिन में किया हिलाल हमें

नज़र आते हैं होते जी के वबाल
हल्क़ा हल्क़ा तुम्हारे बाल हमें

तंगी इस जा की नक़ल किया करिए
याँ से वाजिब है इंतिक़ाल हमें

सिर्फ़ लिल्लाह ख़म के ख़म करते
न क्या चर्ख़ ने कलाल हमें

मुग़-बचे माल मस्त हम दरवेश
कौन करता है मुश्त-माल हमें

कब तक उस तंगना में खींचिए रंज
याँ से यारब तू ही निकाल हमें

तर्क सब्ज़ान-ए-शहर करिए अब
बस बहुत कर चुके निहाल हमें

वज्ह किया है कि 'मीर' मुँह पे तिरे
नज़र आता है कुछ मलाल हमें

  - Meer Taqi Meer

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari