kya din the ve ki yaa bhi dil aarmeeda tha
roo-aashiyaan taa'ir-e-rang-pareeda tha
qaasid jo waan se aaya to sharminda main hua
bechaara giryaa-naak garebaan dareeda tha
ik waqt ham ko tha sar-e-giryaa ki dasht mein
jo khaar khushk tha sau vo toofaan raseeda tha
jis said-gaah-e-ishq mein yaaron ka jee gaya
marg us shikaar-gah ka shikaar rameeda tha
kori chashm kyun na ziyaarat ko us ki aaye
yusuf sa jis ko madd-e-nazar noor-deeda tha
afsos marg sabr hai is vaaste ki vo
gul-e-haa-e-baagh ishrat-e-duniya nacheeda tha
mat pooch kis tarah se kati raat hijr ki
har naala meri jaan ko teg kasheeda tha
haasil na pooch gulshan-e-mashhad ka bul-hawas
yaa fal har ik darakht ka halk-e-bureeda tha
dil-e-be-qaraar giryaa-e-khoonin tha raat meer
aaya nazar to bismil dar-e-khoon tapeeda tha
क्या दिन थे वे कि याँ भी दिल आर्मीदा था
रू-आशियाँ ताइर-ए-रंग-परीदा था
क़ासिद जो वाँ से आया तो शर्मिंदा मैं हुआ
बेचारा गिर्या-नाक गरेबाँ दरीदा था
इक वक़्त हम को था सर-ए-गिर्या कि दश्त में
जो ख़ार ख़ुश्क था सौ वो तूफ़ाँ रसीदा था
जिस सैद-गाह-ए-इश्क़ में यारों का जी गया
मर्ग उस शिकार-गह का शिकार रमीदा था
कोरी चश्म क्यूँ न ज़ियारत को उस की आए
यूसुफ़ सा जिस को मद्द-ए-नज़र नूर-दीदा था
अफ़्सोस मर्ग सब्र है इस वास्ते कि वो
गुल-ए-हा-ए-बाग़ इशरत-ए-दुनिया नचीदा था
मत पूछ किस तरह से कटी रात हिज्र की
हर नाला मेरी जान को तेग़ कशीदा था
हासिल न पूछ गुलशन-ए-मशहद का बुल-हवस
याँ फल हर इक दरख़्त का हल्क़-ए-बुरीदा था
दिल-ए-बे-क़रार गिर्या-ए-ख़ूनीं था रात 'मीर'
आया नज़र तो बिस्मिल दर-ए-ख़ूँ तपीदा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Dil Shayari Shayari