gusse se uth chale ho to daaman ko jhaad kar | ग़ुस्से से उठ चले हो तो दामन को झाड़ कर - Meer Taqi Meer

gusse se uth chale ho to daaman ko jhaad kar
jaate rahenge ham bhi garebaan faad kar

dil vo nagar nahin ki phir aabaad ho sake
pachtayoge suno ho ye basti ujaad kar

yaarab rah-e-talab mein koi kab talak phire
taskin de ki baith rahoon paanv gaar kar

manzoor ho na paas hamaara to haif hai
aaye hain aaj door se ham tujh ko taar kar

ghalib ki deve quwwat-e-dil is zaif ko
tinke ko jo dikhaave hai pal mein pahaad kar

niklengay kaam dil ke kuch ab ahl-e-reesh se
kuch dher kar chuke hain ye aage ukhaad kar

us fan ke pahalwaanon se kashti rahi hai meer
sudhrenge ko ham ne zer kiya hai pachaad kar

ग़ुस्से से उठ चले हो तो दामन को झाड़ कर
जाते रहेंगे हम भी गरेबान फाड़ कर

दिल वो नगर नहीं कि फिर आबाद हो सके
पछताओगे सुनो हो ये बस्ती उजाड़ कर

यारब रह-ए-तलब में कोई कब तलक फिरे
तस्कीन दे कि बैठ रहूँ पाँव गाड़ कर

मंज़ूर हो न पास हमारा तो हैफ़ है
आए हैं आज दूर से हम तुझ को ताड़ कर

ग़ालिब कि देवे क़ुव्वत-ए-दिल इस ज़ईफ़ को
तिनके को जो दिखावे है पल में पहाड़ कर

निकलेंगे काम दिल के कुछ अब अहल-ए-रीश से
कुछ ढेर कर चुके हैं ये आगे उखाड़ कर

उस फ़न के पहलवानों से कश्ती रही है 'मीर'
बहुतों को हम ने ज़ेर किया है पछाड़ कर

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Kashti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Kashti Shayari Shayari