chaati jala kare hai soz-e-daroon bala hai | छाती जला करे है सोज़-ए-दरूँ बला है

  - Meer Taqi Meer

chaati jala kare hai soz-e-daroon bala hai
ik aag si rahe hai kya jaaniye ki kya hai

main aur tu hain dono majboor-e-taur apne
pesha tira jafaa hai sheva mera wafa hai

roo-e-sukhan hai kidhar ahl-e-jahaan ka ya rab
sab muttafiq hain is par har ek ka khuda hai

kuchh be-sabab nahin hai khaatir meri pareshaan
dil ka alam juda hai gham jaan ka juda hai

husn un bhi moino ka tha aap hi sooraton mein
is martabe se aage koi chale to kya hai

shaadi se gham-e-jahaan mein vo chand ham ne paaya
hai eed ek din to das roz yaa dahaa hai

hai khasm-jaan-e-aashiq vo mahw-e-naaz lekin
har lamha be-adaai ye bhi to ik ada hai

ho jaaye yaas jis mein so aashiqi hai warna
har ranj ko shifaa hai har dard ko dava hai

naayaab us guhar ki kya hai talash aasaan
jee doobta hai us ka jo tah se aashna hai

mushfiq malaz o qibla kaaba khuda payambar
jis khat mein shauq se main kya kya use likha hai

taaseer-e-ishq dekho vo naama waan pahunch kar
jun kaaghaz-e-havaaii har soo uda fira hai

hai garche tifl-e-maktab vo shokh abhi to lekin
jis se mila hai us ka ustaad ho mila hai

firte ho meer sahab sab se jude jude tum
shaayad kahi tumhaara dil in dinon laga hai

छाती जला करे है सोज़-ए-दरूँ बला है
इक आग सी रहे है क्या जानिए कि क्या है

मैं और तू हैं दोनों मजबूर-ए-तौर अपने
पेशा तिरा जफ़ा है शेवा मिरा वफ़ा है

रू-ए-सुख़न है कीधर अहल-ए-जहाँ का या रब
सब मुत्तफ़िक़ हैं इस पर हर एक का ख़ुदा है

कुछ बे-सबब नहीं है ख़ातिर मिरी परेशाँ
दिल का अलम जुदा है ग़म जान का जुदा है

हुस्न उन भी मोइनों का था आप ही सूरतों में
इस मर्तबे से आगे कोई चले तो क्या है

शादी से ग़म-ए-जहाँ में वो चंद हम ने पाया
है ईद एक दिन तो दस रोज़ याँ दहा है

है ख़सम-जान-ए-आशिक़ वो महव-ए-नाज़ लेकिन
हर लम्हा बे-अदाई ये भी तो इक अदा है

हो जाए यास जिस में सो आशिक़ी है वर्ना
हर रंज को शिफ़ा है हर दर्द को दवा है

नायाब उस गुहर की क्या है तलाश आसाँ
जी डूबता है उस का जो तह से आश्ना है

मुशफ़िक़ मलाज़ ओ क़िबला काबा ख़ुदा पयम्बर
जिस ख़त में शौक़ से मैं क्या क्या उसे लिखा है

तासीर-ए-इश्क़ देखो वो नामा वाँ पहुँच कर
जूँ काग़ज़-ए-हवाई हर सू उड़ा फिरा है

है गरचे तिफ़्ल-ए-मकतब वो शोख़ अभी तो लेकिन
जिस से मिला है उस का उस्ताद हो मिला है

फिरते हो 'मीर' साहब सब से जुदे जुदे तुम
शायद कहीं तुम्हारा दिल इन दिनों लगा है

  - Meer Taqi Meer

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari