karte hi nahin tark-e-butaan taur-e-jafa ka | करते ही नहीं तर्क-ए-बुताँ तौर-ए-जफ़ा का

  - Meer Taqi Meer

karte hi nahin tark-e-butaan taur-e-jafa ka
shaayad humeen dikhaavenge deedaar khuda ka

hai abr ki chadar shafqi josh se gul ke
maykhaane ke haan dekhiye ye rang hawa ka

bahuteri giro jins-kulaalon ke padi hai
kya zikr hai wa'iz ke musallaa-o-rida ka

mar jaayega baaton mein koi gham-zada yun hi
har lahza na ho mumtahin arbaab-e-wafaa ka

tadbeer thi taskin ke liye logon ki warna
ma'aloom tha muddat se hamein nafa dava ka

haath aaina-ruyon se utha baitheen na kyunkar
bil-aks asar paate the ham apni dua ka

aankh us ki nahin aaine ke saamne hoti
hairat-zada hoon yaar ki main sharm-o-haya ka

barson se tu yun hai ki ghatta jab umand aayi
tab deeda-e-tar se bhi hua ek jhadaaka

aankh us se nahin uthne ki sahab nazaron ki
jis khaak pe hoga asar us ki kaf-e-paa ka

talwaar ke saaye hi mein kaate hai to ai meer
kis dil-zada ko hue hai ye zauq fana ka

करते ही नहीं तर्क-ए-बुताँ तौर-ए-जफ़ा का
शायद हमीं दिखलावेंगे दीदार ख़ुदा का

है अब्र की चादर शफ़क़ी जोश से गुल के
मयख़ाने के हाँ देखिए ये रंग हवा का

बहुतेरी गिरो जिंस-कुलालों के पड़ी है
क्या ज़िक्र है वाइ'ज़ के मुसल्ला-ओ-रिदा का

मर जाएगा बातों में कोई ग़म-ज़दा यूँ ही
हर लहज़ा न हो मुम्तहिन अरबाब-ए-वफ़ा का

तदबीर थी तस्कीं के लिए लोगों की वर्ना
मा'लूम था मुद्दत से हमें नफ़ा दवा का

हाथ आईना-रूयों से उठा बैठें न क्यूँकर
बिल-अकस असर पाते थे हम अपनी दुआ का

आँख उस की नहीं आईने के सामने होती
हैरत-ज़दा हूँ यार की मैं शर्म-ओ-हया का

बरसों से तू यूँ है कि घटा जब उमँड आई
तब दीदा-ए-तर से भी हुआ एक झड़ाका

आँख उस से नहीं उठने की साहब नज़रों की
जिस ख़ाक पे होगा असर उस की कफ़-ए-पा का

तलवार के साए ही में काटे है तो ऐ 'मीर'
किस दिल-ज़दा को हुए है ये ज़ौक़ फ़ना का

  - Meer Taqi Meer

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari